Beta - bolene deejiye - kehne deejiye - aap bhi apna ehem bana ke rakhiye. Kya aap jaanti hain ki aapki ek complaint police ko ghar tak laa saktee hai? 181 - womens helpline?
Saath hee - be jijhak boliye ki bhaag jaana kyun pada aapko - kyunki aapke man mein dar tha - ki aapke ghar waale aapko neecha dikhayenge.
Kya koi bhi aapk family mein aisa nahin jisse aap in logon ke behaviour ki baat kar paayein? Ki woh samjhayein ki aap par kitna tension aur stress daal rahe hain?
Kya asal mein koi BF hai? Toh aglee baar aisa kuch uthey - use bulaiyey - kahiye apni family se - bulatey hain un sab ko - chahe to woh bhi apni family ko le aaye - aur sabke saamne pooch lein - ki kya uska koi bhi role tha isme?
Apni family ko pakki taur pe samjhaa deejiye ki is kism ke raviyye na hee aapko majboor keeya tha darr ke maare bhaag jaane mein - kyunki veh kabhi bhi aapka saath de hee nahin paaye.
Beta life bahut badi hai - bas abhi shuru hee hui hai - yeh sab pabandiyan ladkiyun pe log aaj bhi lagate hain - bhaut hee dukh ki baat hai. Bajaye iske ki aapka saath dein - is kism ke stupid nuks nikalna. Filhaal apne aap ko shant keejiye - career aur eductaion pe focus keejiye - koi chhoti se job bhi mill jaaye to aur bhi achha.
Jab aapne kuch galat ya bura ya jhootha kaam keeya hee nahin - to darna kyun. Bolene deejiye. All the best beta. Childline bhi ek phone line jiska number 1098 hai, jo ki 18 se kum umr ke bachchon ko madad kartee hai .
Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho!
https://lovematters.in/en/forum
Beta - bolene deejiye -…