Ruman bete hum aapki pareshani samajh sakte hain, bahut dukh ki baat hai ki hamare samaj me abhi bhi 15 saal ki umra mein shadi ki jati hai, lekin bete us waqt aapko is shadi ko rukwana chahiye tha, baal vivah kanuni taur par ek apradh hai - khair- abhi aapne jo apni sthiti batayi toh sabse pahle ye jaan lijiye ki beta ya beti hona purush par nirbhar karta hai, stri par nahi, so yadi is baat se aapko pareshan kiya ja raha hai toh aap apne aapko majbut kijiye aur sakhti se iska virodh kijiye. Dusri baat sex mein haan ya na karna aapka bhi adhikar hai, yadi aapko unka behaviour ya activities pasand nahi aa raha toh unse baat kijiye aur apni samsya rakhiye aur sath hi agar wo aapki aur bachchiyon ki jimmedari nahi utha rahe toh is bare mein bhi unse baat kijiye - dekhiye ki unka kya kahna hai in sab samasyaon ke bare mein...aap chahen aur yadi sambhav ho toh apne gharwalon se bhi madad lene ki koshish kijiye. Beta aapki age abhi 25 saal hi hai, isliye aap apni aarthik sthiti ko sahi karne ke liye koi kaam bhi shuru kar sakti hain, kai aisee sarkari yojnaen hain jo aarthik roop se kamjor logon ke liye upalabdh hain, unka pata kijiye. Sabse badi baat apne aap ko maansik taur par majbut kijiye, sahi nirnay lijiye aur apne saath saath apni bachchiyon ka bhi khyal rakhiye...Aapko Auntyji ka pyar, aapke dubara likhne ka intezar rahega. Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain toh hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil hon! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>