Sweta bete bahut bura laga sunkar, hum aapki sthiti aur pareshani samajh sakte hain, lekin bete yadi koi hamare sath nahi rahna chahta, toh kya hum force kar sakte hain?? Nahi na?? Unhe aapke sath rahna hai ya nahi nahi rahna, ye faisala unhe karna hai, aap unse keval isliye Haan nahi kara sakti, kyunki aap unke sath rahna chahti hain, OK!! So, jab ek rishta ek makaam tak aa ke ruk jaata hai, toh use phir shuru karna ya us per hee tike rehana shayed itnee samjhdaari nahin. Aage badhiye, naye kadam uthaiye, naye aur purane dost dhoondhiye, films, music, koi hobbies. Jaise ki shayad unhone keeya hai. Apni zindigi jeene mein utar jaiye. All the best. Aapko Auntyji ka pyar!! https://lovematters.in/en/news/shes-avoiding-me-now-what https://lovematters.in/hi/love-and-relationships/breaking-up/how-to-get-over-a-break-up-a-proven-technique https://lovematters.in/en/love-and-relationships/she-never-said-no-but-she-meant-so Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>