Hmmm - beta- yeh toh bahut khushi ki baat hai ki aapki wife aur aap ""pregnant"" hain. Lekin saath hee jis kashmakash se aap guzar rahe hain - woh kewal badene waala hai ... sawdhaa rahiye. Aap akele nahin is stithi mein, Humare desh mein bahut zyada samlaingik purush shaadi kar leyety hain bache bhai lekin phir pnee sachhi feeling ko samajh nahin paate, sambhaal nahin paate. Abhi aapke pas zyada koi option nahin. Apni wife aur family ko pyaar aur izzat se rakhiye, unhe stable keejiye - aur dekhiye life aapko kahan le jaati hai. Bs yeh 100% yaad rakhiye ki yadi aap unsafe sex kartey hain - usse apki wife ko bahut khatra hai. Samy aa raha hai - ki aap apne aap ko samjhne mein, aur aage ki planning mein bahut soch vichar karien - aur saath hee apni poori zimmedari aur pyaar se apn family ko support karien. https://lovematters.in/hi/sexual-diversity/sexual-orientation/am-i-gay Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>