Anu bete samanyataya periods 28 se 34 dino ke antral per ho sakte hai. Yadi yeh in dinon ke antral par na hokar har baar aniyamit hote hai toh is bare mein aap kisi ek visheshgya ya registered doctor se consult karna sahi hoga. Ok Bete! Aur ovalution time ke liye apne maasik chakr ko 4- 6 mahine dekhiye- who kitne dino mein aata hai. 28 , 30, 32... lekin isse zyada nahin. Isse note keejiye, aapko apne gap ka pata padh jayega. Phir mahine ke pehle din se aap aage 14 din gineenge- jo tareek miltee hai usse 2 din pehle aur 20 din baad – yaani 5 poore din aapko bilkul parkez karn ahai ya phir condom use karna hai. Yeh mana jaaat ahai ki mahine shuru ke 14ve din ke aas apaas mahila k aanda aata hai, jo ki sirf 24 gahntey jeevit rehta hai. Bachcha chahtey hain to in dno sex ek baat zaroor karna hai – aur aadmi ka veeryapaat bhi andar hee hona hai. Madad ke liye ise bhee padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle https://lovematters.in/hi/resource/tips https://lovematters.in/hi/resource/pregnancy Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare disccsion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>