Beta shaadi ke baat ki chinta na karo yeh suno ki Hastmaithun ek safe /surakshit tareek ahaiapni santushti karne ka. Isse koi nuksaan ya beemari nahin hoti aur rahi baat jaldi discharge hone ki toh aisee stithi mein, partner par focus badhana, foreplay , yaani ki pravesh karne se pehle bahut se alag alag kriyaein karna , jinse dono ko aanand mile, apne partner kee uttejna badhana, yeh sab activitys sabse zaroori hain. iske ilava, partner ke saath sex karne se pehle, ek baar hast maithun kar saktey hain, utne samay pehele jitne mein ling mein tanaav aa jaaye. Condom ka istemaal bhi jaldi discharge mein help karta hai. Yeh bhi padh lo: http://lovematters.in/hi/news/premature-ejaculation-top-five-facts Aur pehli baar sex kartay samay kya dhyan rakhna hai wo yaha padho: http://lovematters.in/hi/news/first-time-sex-top-five-facts

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>