Sperm ki sirf ek bund
Raat ke 1 baje Myra ne ghabrakar Vian ko phone ko phone kiya, uss samay woh gehri neend me tha. Uske periods ek week late they! Vian ne Myra ko bharosa dilaya ki uss din uska ejaculation vagina ke andar nahi hua tha. ‘Ab tum so jaao, me subah koi raaste nikalta hun,’ Vian ne kaha.
Lekin Myra ne internet par padha tha ki pregnant hone ke liye sperm ki ek drop hi kaafi hai. Usne dukhi ho kar phone kaat diya. Vian aur Myra ne kuch mahine pehle hi dating shuru ki thi aur dono ne pichle mahine pehli baar sex kiya tha. Ek ke baad ek chizein hoti gayi aur unhone contraceptives (condoms) ka use karne ke baare me socha hi nahi.
Lekin periods rukne se dono dar gaye.
Aadhi raat ko ko phone pe baat karte sun Vian ka roommate aur achcha dost Abeer bhi jag gaya tha. Usne Vian se poocha ki kya usko kissi madad ki zarurat hai.
Vian bhi Abeer se yeh kehte huye rone laga ki pata nahi ye sab kaise ho gaya. Vian ne Abeer se kaha ki ‘mujhe bahut dar lag raha hai bhai. Main nahi chahta ki Myra pregnant ho. Samajh me nahi aa raha hai ki ab kya karu.’
Abeer ne Vian ko bharosa dilaate huye kaha ki ‘Chinta mat karo, mere uncle Dr. Kumar gynecologist hain. Mai unse tumhari baat karata hun. Bas unke clinic par jaao, tumhari help kar sakte hai.’
Kya karen, kya nahi?
Vian ne raahat ki saans li aur Myra ko message kiya. Myra gynecologist ke paas nahi jana chahti thi. Use dar tha ki kahi uske mummy papa ko pata chal gaya toh kya hoga? Uske mann main yahi khyaal baar baar aa raha tha -- Agar kisi ne mujhe waha dekh liya toh?
Vian ne use bharose dilaya ‘me tumhare saath hun, kuch nahi hoga.’
Dono uske college ke bahar milne ke liye ready ho gaye.
‘Mujhe bhi dar lag raha hai Myra. Lekin hume milkar koi solution nikalna hoga. Hum dono ek hafte se bhi zyada time se isi state me hain. Hume kuch jaldi karna hoga. Better yeh hoga ki hum kisi trusted insaan se iske baare me baat kare. Chalo Dr. ke paas chalte hain, mujhe yakeen hai ki woh humhari help karenge,’ Vian ne kaha.
Myra Dr ke paas jaane ke liye ready ho gayi. Dono subah jaldi hospital pauhch gaye, uss samay waha kum hi patient the. Reception par Myra ne apne saare details diye, fir dono wait karne lage.
Clinic me bachche ki lagi pictures ko dekh ke Vian ko chakkar aane lage lekin kisi tarah usne khud ko sambhala. Uske dimag me ajeeb se khayaal aa rahe the jisse woh pareshaan tha - Agar Myra sach me pregnant ho gayi toh kya hoga? Kya Doctor Myra ka blood test karenge? Mai abhi shaadi nahi karna chahta, ummeed hai ki pregnant hone ke baad bhi Myra mujhse shaadi ke liye nahi kahegi. Mai abhi sirf 22 saal ka hun. Maine toh abhi college bhi khatam nahi kiya hai. Kya woh abortion ke liye ready hogi? Kahi sabko pata na chal jaaye.
Ye darawane khayaal Vian ke dimag me chalte rahe aur woh Myra ko lekar Dr. Kumar ki clinic ke andar gaya.
Lamba intezar
Dr Kumar Myra aur Vian se mile aur unki samasya ko itminaan se suna. Unhone Myra ko clinic me turant pregnancy test karne ke liye kaha. Unhone Myra ko ek chotee sa plastic ki dibbi di aur kaha ki jaayo bathroom me test kar lo. Use guide karne ke liye nurse bhi wahan bhi. Myra dibbi mein par apna urine leker bahar nikal aayi.
Iss dauraan Dr. Kumar ne Vian se kaha, ‘Intimate hona jeevan ka ek khubsurat hissa hai lekin sex ke saath me pregnancy bhi judi hui hai. Sirf ek sperm se unwanted pregnancy ho sakti hai. Mai tumhe darana nahi chaahta, uttejna ke unn palon me contraceptive bhoolna aam baat hai lekin ek choti si bhool aapko pareshaani me daalne liye kaafi hai.’
Vian ne kaha, ‘Mai iske liye maafi chahta hu Doctor. Mujhe condom ka use karna chahiye tha.’ lekin abhi bhi Vian ka dimag toh Myra ke test result ke intzaar me hi laga hua tha.
Ek ek pal bahut bhaari lag rahe the, lekin jab Myra lauti toh kaafi khush dikh rahi thi. Nurse ne use bataya ki uska pregnancy test negative hai. Uska period tanaav ya kisi dusre reason se late huye hai. Dono ke liye isse badi raahat kya ho sakti thi!
Safe sex
Dr Kumar ne kaha ‘Ab aap dono ko chinta karne ki zarurat nahi hai lekin apko safe sex ke baare me apni jaankaari badhaani chaiye, hai ki nahi?’
‘Bilkul!’, dono ne hans kar kaha!
Baad me maafi maangne ya pachtaane se behtar hai ki safety apnaayi jaaye. Safe sex karein aur apni pasand ki contraception ka istmaal kare. Doctor ne bataya ki unwanted pregnancy se bachne ke liye female aur males dono ke paas bahut se options hain. Ayiye inke baare me detail me jaane.
Males ke liye contraception ka alternative - condom aur bahut kuch?
Dr. Kumar ne kaha ki contraception ki responsibility sirf females ki hi nahi hai. Unwanted pregnancy se bachne ke liye purush bhi condom jaise aasaan tareeke ka istmaal kar sakte hain. Condom sasta aur aasaani se available hota hai. Khaas baat yeh hai ki iska koi side effect nahi hai.
Condom rubber ka ek khol hota hai jo penis ko puri tarah cover kar leta hai aur sperm ko vagina me jaane se rokta hai. Ye chota sa tube jaisa bag hai jiska band sira nipple ke shape jaisa hota hai. Ejaculation ke baad isi nipple wale hisse me sperm jama hota hai.
Condom alag alag size, style aur shape me market me available hai. Condom latex, polyeuthrene ya lambskin ka bana hota hai. Ye lubricated aur unlubricated dono type ke hote hain.
Condom ki keemat bhi kum hoti hai aur kisi bhi medical store par ye easily mil jaate hain. Khaas baat yeh hai ki condom apko sexually transmitted disease se bhi bachaate hain. Apni sex life ko mazzedaar banaane ke liye alag alag flavour aur variation jaise ultra thin, chocolate, strawberry condom try kare.
Vian ne pucha, ‘Mere liye aur kya options available hain?’
‘Condom sabse easy aur effective hai. Magar iske alawa bhi kuch tareeke hai,’ Dr. Kumar ne kaha. Iske baad unhone puroshon ke liye garbh nirodhan yani contraception ke aur tareeke bataye.
Pull out method : bahut effective nahi!
Iss method me sex ke dauraan male ejaculation hone se pehle hi apne penis ko vagina se bahar khich leta hai jisse vagina ke andar sperm na jaaye.
Dr Kumar ne kaha, ‘Halanki sperm ko vagina me jaane se rokne ka yeh ek safe tareeka nahi hai kyuki pre-cum/pre ejaculate ke zariye bhi kuch sperm vagina ke andar ja sakta hai. Beshak, iss tareeke pa bharosa nahi karna chahiye. Hum iss tareeke ka use karne ki advice nahi dete hain.’
‘Iss method se sex karne ke baad mujhe humesha hi pregnancy ka dar laga rehta hai,’ Myra ne kaha.
Dr. Kumar muskuraaye. Unhone kaha, ‘Males ke liye pregnancy se bachne ka ek dusra tareeka vasectomy yaani nasbandi, jo ki contraception ka ek stable solution hai. Yeh ek surgical procedure hai jisme male ke genitals ke andar Vas defrence naam ki ek tube ko kaat diya jata hai ya block kar diya jata hai jisse sperm, semen me nahi mil pata hai. Yeh contraception ka ek stable tareeka hai. Agar aap future me bachche nahi chahte toh beshak aap vasectomy kara sakte hain.’
Mahilaon ke liye contraception ke options
Ab baari thi mahilaon ke gharbh nirodhan ( contraception) ke tareekon ke baare mein baat karne ki. Dr Kumar ne kaha, ‘Myra tumhare liye bhi bahut se options maujood hain. Chalo mai tumhe inke baare me batata hun.’
‘Main bhi dhyaan se sun raha hun!’ Vian ne kaha.
‘Myra, Kya tumhe pata hai ki females ke liye bhi condom available hai?’ Dr. Kumar bole.
‘Arre waah, sach me? Mujhe nahi maaloom tha!’ Myra ne jawab diya.
‘Mujhe bhi nahi pata tha!’ Vian bhi bola.
Dr Kumar ne kaha, ‘Female Condom, jaisa ki naam se hi clear hai, yeh pregnancy se bachne ke liye females use karti hai! Yeh na sirf contraception ki tarah kaam karta balki STI aur STD se bachne me bhi help karta hai.’
‘Female condom ki banawat males ke condom ki tarah hi hota hai. Female condom ko mahilaaye sex se pehle apni vagina ke andar lagaati hain. Female condom ke sire ka shape ring jaisa hota hai jo sex ke dauraan sperm ko vagina ke andar jaane se rokna hai. Ab Indian markets me bhi yeh kayi medical store par aasaani se available hai,’ Dr. Kumar bole.
Myra ne kaha, ‘Mai female condom zarur khareedungi. Ab mujhe Vian par depend nahi rehna padega. Mai bhi apna condom use kar sakti hun.’
Vian ne Myra ki taraf dekhte huye kaha ki mahila condom kayi online websites o par bhi available hai. ‘Maine abhi ek female condom apne cart me rakh liya hai’, Vian bola.
Ab baat karte hain contraception pills ki
Dr Kumar bole, ‘Pregnancy se bachne ke liye females ko daily contraception medicines ka use kara padta hai. Contraception medicines, do hormone estrogen aur Progestin se joint roop se bani hoti hain. ‘Mini pills’ ya ‘Progestin only pills’ me sirf progestin hota hai.’
‘Contraceptive pills pregnancy se bachaane me help karti hain. Jab aap pregnant hona chaahe, inn pills ka use band kar sakti hain. Sabse achchi baat yeh hai ki contraception pills ka use karne se sex ke dauraan koi pareshaani nahi hoti hai.’
Ye kaise kaam karti hain?
Contraception pills do hormones release karti hai - estrogen aur progestin aur pregnancy se bachne main help karta hai. Ye hormones, ovulation ko rok kar egg ko fertilize hone se rokte hain. Ovulation tab hota hai jab ovary se ek egg release hota hai aur ye sperm se fertilize hone ke liye ready hota hai.
‘Garbh nirodhak dawao me paaye jaane wale hormone uterine cervix ke mucus ko mota/thick kar dete hain jisse sperm ko egg se milne me kathinayi hoti hai. Saath hi females contraception ke liye purushon pe dependent nahi rehti. Aur to aur, kuch birth control pills ka use karne se periods kam ho jatein hai aur period ke dauraan dard bhi kum hota hai.’
Pills ke side effect
Myra bahut dhyaan se sun rahi thi, ki tabhi Vian ne pucha ki kya inn pills ke side effect bhi hain?
‘Haan birth control pills ka ek nuksaan yeh hai ki yeh sexually transmitted diseases se bachaane me help nahi karti hai. Aur to aur, pills ko har roz lena hota hai -- ek bhi goli miss karne par pregnancy ki possibility badh sakti hai. Iske alawa birth control ke aur methods ke comparison me ye kaafi costly bhi hai.’
Dr Kumar ne bataya ki inn hormonal birth control se kuch females me ji michlaane aur weight badhne jaise side effect bhi aate hain. Iske alawa market me ‘Saheli’ jaise kuch bina hormone ki birth control pills bhi available hain.
‘Lekin har kisi ki body alag hoti hai. Isliye koi bhi contraception use karne se pehle uske faide aur nuksaan ke baare me Dr se puch lena chahiye,’ unhone bola.
Females ke liye injection aur IUD
Dr Kumar ne fir kaha, ‘Ab mai females ke liye garbh nirodhak injection ke baare me bata raha hun.’
‘Depo Provera Contraceptive injection ka ek prachalit brand hai jisme progestin hormone hota hai. Yeh injection har teesre month diya jata hai. Isme medroxy progstrone acetate maujood hota hai jo ovulation ke procedure ko rokta hai. Iske kaaran ovary se egg release nahi hote hain. Iske alawa yeh cervical mucus ko thick kar deta hai jiski wajah se sperm egg tak nahi pahunch paate hain.’
‘Agar aap roz contraceptive pills nahi lena chahti hai toh depo provera apke liye sabse behtar upaaye hai. Halaki kuch side effects bhi ho sakte hain,’ Dr. Kumar bole.
‘Toh kya yeh sirf teen month hi kaam karta hai? Isse adhik nahi?’ Vian ne utsukta se poocha.
Dr Kumar, ‘‘Haan bilkul. Abhi tak ise sirf teen month use karne ka option hai.’
Vian ne kaha, ‘Arre waah, Myra ke paas itne option hain. Kya kuch aur bhi operation hai Doctor?’
Dr. ne muskuraate huye kaha, ‘Haan, bas kuch aur. Phir aap ja sakte ho.’
‘Ab baat karte hain intra uterine device ya IUD ke baare me. Yeh ek choti contraceptive device hai jise uterus me dala jata hai. Yeh device lambe time tak kaam karti hai aur market me bikne wali sabse effective reversible birth control maani jaati hai.’
‘IUD do tarah ke hote hain - Copper IUD aur hormonal IUD. Kayi hormonal IUD jaise ki mirena, kilena etc aur non hormonal IUD jaise ki Copper T, 5 se 10 saalo tak kaam karti hai.’
‘Copper-T IUD : Yeh ek non hormonal birth control device hai jise females ke uterus me fit kiya jata hai. Market me yeh multiload naam se bikti hai. Yeh T shape ka plastic ka ek tukda hota hai jo copper wire ki coil se lipta hota hai. Copper T IUD contraception ka reversible roop hai. Ise aap kabhi bhi bahar nikalwana sakti hain aur uske baad pregnancy ho sakti hain.’
‘IUD me laga Copper, natural spermicide ki tarah kaam karta hai aur vagina me aane waale sperm ko destroy kar deta hai. Iss tarah egg fallopian tube me fertilize nahi ho paata hai aur aap pregnant nahi ho paati hain.’
Myra ne kaha, ‘Future me pregnancy se bachne ke liye Copper-T IUD ek better option prove ho sakta hai. Ek baar Copper T lagwaao aur 5 saalo tak chhutti wo bbhi bina kisi hormone ke.’
Dr Kumar ne kaha, Haan bilkul, lekin Mirena - ya hormonal wale bhi use kiya ja sakta hai. Yeh machhis ki tili jitna lamba chota cylinder jaisa hota hai jise females ke uterus ya womb ke andar Doctor fit karte hai. Yeh device female ki body me 5 saalo tak reh sakti hai. Isse dheere dheere bahut hi kum amount me progesterone hormone (Levonogrestral) niklta rehta hai jisse ki pregnancy nahi hoti.’
Dusre options?
Dr Kumar ne fir bola, ‘Myra, Ovulation cycle ki nigraani bhi pregnancy se bachne ka tareeka hai. Withdrawal method ki tarah ye bhi bahut bharosemand nahi hain. Lekin main tumhe iske baare me batata hun.’
‘Ise ovulation cycle ki nigraani kehte hain. Females ovulation ke time sabse zyada fertile hoti hai yaani agla period start hone se 12-14 din pehle ovary se eggs nikalte hain aur yehi w time hai jab pregnancy ki possibilty sabse zyada rehti hai. Agar aap pregnancy se bachna chahti hain toh aapko iss pure periods(pure fertile window) ke dauraan unsafe sexual relationship nahi banana chahiye.’
Myra ne muskurate hue bola,‘Thanks Doctor! Lekin mera period irregular hai aur mujhe nahi lagta ki yeh operation mere liye sahi hai.’
Dr Kumar bole, ‘Haan, iss method par bharosa nahi karna chahiye. Yeh tareeka apnakar kayi females pregnant ho chuki hain.’
Myra, ‘Kya females ke liye bhi contraceptives ka koi permanent upaaye nahi hai? Jis tarah purusho ke liye nasbandi hai?’
Doctor ne bataya,‘Bilkul hai. Tubal ligation ka common meaning hai “ Tube ko baandhna”. Ye tube falopian tube hain, Jo har month ovulatio ke dauraan egg release karte hain aur yeh egg fallopian tube se hote huye uterus me pauhchta hai.’
‘Ye pregnancy rokne ka irreversible aur surgical tareeka hai. ISe ‘female vasectomy bhi kehte hai. Agar aap future me bachche paida karna nahi chahti toh yeh option chun sakti hain,’ unhone kaha.
Emergency Contraception - I pill ya unwanted 72
Vian ne fir ek sawal poocha, ‘Doctor, Agar sabhi precautions lene ke bawajood bhi sex ke dauraan condom fatt jaaye toh kya phir bhi pregnancy se bachne ka koi tareeka hai?’
Myra boli, ‘Haan, Maine kayi jagah unwanted 72 ke advertisement dekhe hain.’
Doctor bole, ‘Bilkul, ise emergency contraception pill (Emergency Contraceptive) kehte hain. Aisi situation me yeh pregnancy se bachne ka ek raasta hai lekin yeh dhyaan rakhe ki ye sirf emergency ke liye hai. Isko regularly nahi kiya jata hai.’
Phir Doctor ne emergency contraception ke baare me detail me bataya.
‘Emergency contraception tab kaam ata hai jab aap contraceptive ka use kiye bina sex karti hain aur pregnant nahi hona chahti hai. Yaa apko lagta hai ki apka contraception sahi tareeke se kaam nahi kar paya, aap pills lena bhul gayi ya sex ke dauraan condom fatt gaya. Ise morning after pill bhi kehte hain. Ye dawaaye tab li jaati hain jab aapne unsafe sex ( bina condom ya bina kissi bhi contraception ke) kiya ho aur aapko lagta ho ki aap pregnant ho jaengi. Tab pregnancy se bachne ke liye unsafe sexual relationship banaane ke 24 ghante ke andar inn medicins ka use karna zaruri hota hai. Iske baad ye medicins kum effective hoti hain,’ Doctor ne samjhaya.
‘India me ye medicine kayi naamo se available hain - I pill, unwanted 72 etc. Inn medicines ko Doctor ke prescription ke bina bhi kisi bhi harmacy se khareeda ja sakta hai.‘ECP ke halke side effects bhi hote hain. Iska matlab yeh hai ki common contraceptives ki trah iska use nahi kiya jata hai balki sirf emergency me hi iska use karna chahiye,’ doctor bole.
‘ECP aisa kya karta hai, jisse pregnancy nahi hoti?’ Myra ne pucha.
Dr Kumar ne samjhaya, ‘Achcha sawaal. Jab tak sperm female ke body me hota hai tab yeh ovary se egg ko release nahi hone deta hai. Isliye 72 hours ke andar ika use karna zaruri hota hai. Yeh body me sperm ka raasta change kar deta hai jisse sperm egg se nahi mil pata hai. Lekin ek baar egg fertilize ho jata hai tab yeh kaam nahi karta hai.’
‘Yeh tum dono ke liye tha. Ummeed hai aage se tum dono saavdhaaniya baratoge aur safe sex karoge. Contraceptive chunne se jadi kisi bhi help ke liye mujh bejhijhak call kar sakte ho,’ Dr. Kumar bole.
‘Aapne bahut achchi jaankaari di Doctor, apka bahut dhanyawaad,’ dono ne kaha.
Vian aur Myra Doctor ko thanks bolkar der saari information ke saath hi raahat ki saans lekar bahar nikal aaye. Iske baad wo ek pharmacy par ruke jaha se unhone strawberry aur chocolate flavour condom khareeda - Myra ka favourite.
Pehchaan chupaane ke liye, photo me ek model hai aur naam change kar diye aye hai.
Koi sawaal? Neeche tippani karen ya hamare charcha manch - Just Poocho pe Love Matters ke experts se poochein. Hamara Facebook page check karna na bhoolein.