Types of condoms
© Love Matters

Condoms - fayde aur nuksaan

Condom alag alag sizes, styles aur shapes me aate hain. Condoms latex yani rubber, polyurethane ya lambskin (bhed ki khaal) se bante hain. Aap unhe chiknaayi ya bina chiknaayi ke bhi laga sakte hain. Kabhi kabhi unme shukraanu-naashak (spermicide) hote hain. Aap flavoured, coloured ya ribbed condom bhi le sakte hain.

Condom rubber se bana ek cover jaisa hota hai, jo penis par pehna jata hai. Yeh sperms ko vagina me jaane se rokta hai. Yeh pipe ke shape ka bahut patla, flexible cover hai, jiske agle sire par sperms ko ikattha karne ke liye nipple jaisa shape bana hota hai.

Mahila (female) condom bhi hote hai jo vagina ke andar pehne jaate hain, lekin yaha hum purush (male) condom ki baat kar rahe hain. 

Yeh kitne effective hain?

Failure Rate :

Normal Use : 14 percent

Perfect Use : 3 percent

(‘Failure Rate’ ka kya meaning hai, iske baare me zada information collect karne ke liye, contraceptive kitne effective hote hain? Link par click kijiye)

Fayde aur nuksaan

Fayde

  • Pregnancy aur Sexually Transmitted Diseases (STD), dono se bachaav karta hai
  • Iske liye aapko kisi doctor ke paas parchi likhane nahi jana padta
  • Milne me aasaani - Inhe aap zyadatar medical store ya super market se khareed sakte hain.
  • Bahut kum side effects - kuch logo ko latex se allergy hoti hai, unhe dusre tarah ke condom ka use karna chaiye
  • Use karne me easy
  • Jab bhi pregnant hona chahe, condom ka use band kar sakte hain

Nuksaan

  • Apko sex karte samay har baar naye condom ka use karna hota hai
  • Iske liye aapke partner ko aapke saath co-operate karna zaruri hota hai
  • Apne partner ke jaane bina iska use nahi sakte hain

Condom kis tarah kaam karte hain?

Condom sperm ko vagina me jaane se rok kar pregnancy se bachate hain.

Oral sex ya anal sex karte samay Sexually Transmitted Diseases se bachne ke liye bhi aap unka use kar sakte hain

Allergy karne wale

Latex(rubber) se bane condoms contraceptive aur sexually transmitted disease se bachaav ka sabse achche solution hote hain. Lekin agar aapko latex se allergy hai toh aap polyeuthrene se bane condom ka use kar sakte hain.

Latex ke baad dusra sabse achcha option polyeuthrene hota hai, ye condom kuch zyada patle aur costly hote hain. Inka ek fayda yeh hai ki aap apne partner ki garmi ko isse aasaani se mehsoos kar sakti hain. Iske saath sex karna zyada close lagta hai.

Latex se bane condom ki tarah polyeuthrene se bane condom bhi pregnancy aur sexually transmitted disease se bachaate hain. Lekin kyuki ye kuch zyada patle hote hain isliye sex ke dauraan latex se bane condom ke comparison me unke fatne aur fisalne ki zada possibility rehti hai.

Sirf latex ke bane condom apko pregnancy aur sexually transmitted disease se bachate hain.

Dryness aur khujli sabse common aur halka allergic reaction hai.  Jabki sabse kharab side effects serious daane ya jaanleva strokes ke roop me dikh sakta hai.

Spermicide lage condom

Spermicide lage condom me nonoxylnol - 9 naam ka chemicals hota hai. Yeh sperm ko destroy kar deta hai ya kum se kum unka movement rok deta hai.

Spermicide chemicals lage condom ka use karne wale kuch logo ko redness, itching ya irritation hoti hai. Mahilayo ko spermicide ke zyada side effects ki possibility hoti hai. Is reason se unhe urethra ka infection hone ki bhi zyada possibility rehti hai.

Agar aapke paas sirf lubricated condom ya kisi bhi condom ka use nahi karne ka option available hai toh bhi condom ka use karna zyada safe rehta hai.

Condom ka use kaise kare?

Purush condom pehnana

  • Condom ka packet ko saavdhaani se faade.
  • Uske agle sire ko dabaaye (jisse nipple jaise shape wali jagah ki hawa bahar nikal jaaye)
  • Condom ko penis head par rakh kar pure penis par pehen lein (Jahaa penis body se milta hai)

Aur information ke liye purush condom pehnna dekhein.

Safety Tips

  • Aam taur par condom ke packet par instructions likhe hote hain ki inhe kaise pehna jaaye. Agar apko theek se pata nahi hai toh dhyaan se unn instructions ko padhe.
  • Ek condom ka use sirf ek hi baar kare.
  • Har condom ke packet par uske safe use ki expiry date likhi hoti hai. Expired dated condoms ko use na kare.
  • Mahila ki vagina me apne penis ko touch karne se pehle condom pehen lein. Ejaculation se pehle aapke penis se nikalne wala fluid sexually transmitted disease faila sakta hai aur ho sakta hai ejaculation se pehle bhi penis jab uttejna me ho, toh sperm ki kuch drops bahar aa sakti hain, ise english me pre-cum kaha jata hai jo apki partner ko pregnant kar sakte hain.
  • Agar condom sakht/stiff ho gaya ho toh use fenk dein, dusre condom ka use kare, kyuki kade ho gaye condom ka sex ke dauraan fatne ya fisalne ki zada possibility hoti hai.
  • Agar apko zyada lubricant ki zarurat ho toh water based (paani se bane) lubricated fluid ka use karen; spit bhi use kar sakte hai. Oil based lubricant ka use na karein kyuki unse latex se bane condom ko nuksan pahucha sakta hai. 

Condom ko utarna

1. Penis ko normal stage me aane se pehle vagina se bahar layein.

2. Nikalte samay condom ko niche se pakde rahen jisse sperm baahar na chhalak sake.

3. Condom ko kagaz mein lapet kar dustbin me daal dein. 

4. Agar aap chaahe toh sperm ko bahar nikalne se bachaane ke liye uske sire par gaanth (knot) baandh dein. 

5. Condom ko toilet me na daalein.

Agar mera condom fat jata hai toh kya hota hai?

Kabhi kabhaar condom fat bhi jaate hai. Aisa condom ke theek se na pehnane se ho sakta hai. 

Fortunately aisa bohot kum hota hai. Agar condom ka theek se use kiya jaaye toh latex condom average 1000 baar me sirf chaar baar fat te hain. Polyurethane condom 100 baar me chaar baar fat jaate hain.

Agar condom fat jata hai toh pregnancy ya STD se bachaane ke liye yeh kum effective hota hai.

Agar aisa apke saath hai toh ise jaldi bahar nikaal lein aur iske badle dusra condom pehen lein. Agar condom fat jata hai aur agar koi liquid (veerya) vagina ke andar chala gaya hai toh emergency contraceptive ke use karne par vichaar karen. 

Emergency contraceptive - Agli subah khaai jaane wali goli (morning after pill) - Sex karne ke 5 din baad pregnancy se bachav ke liye effective hoti hai. Aap ise jitna jaldi leti hain, yeh utni hi zada kaargar hoti hai. 

Kya hoga agar condom fisal gaya aur vagina se nahi nikal paya?

Ghabraiye nahi. Aksar aap vagina me ungli daal kar ise pakad sakti hain. Agar aisa nahi kar paati toh nazdiki heath centre ya doctor se contact karen. Kyuki ho sakta hai condom se sperm nikal gaye ho, apko emergency contracpetive - ‘Agli subah khaai jaane wali goli’ ka use karne par vichaar karna chaiye.

Condom ki dekhbhal kaise karein?

Condom ko thandi, sukhe jagah par rakhen. Apne piche ki pocket, vallet ya glove compartment me inhe zada der tak na rakhen, varna garmi se unhe nuksaan pauhch sakta hai.

Latex(rubber) se bane condom me water based lubricant ka use karein.

Sabhi prakaar ke condom ke liye surakshit chiknaayi

  • Estrglyde, halaki, yeh abhi bhi bharat me uplabhdh nahi hai. K-Y jelly ya duragel
  • Glycerin
  • Silicone Lubricant
  • paani
  • Spit

Condom ke liye asurakshit chiknaayi me, bachcho ko lagaya jaane wala oil (baby oil), makkhan, cream, body lotion, massage oil, khanij oil, vaseline(petroleum jelly), rubbing alcohol, suntan lotion, kuch prakaar ke yeast sankraman dur karne wali cream, khana pakaane ka oil aur malaai shaamil hain.

Mujhe kab aur kitni baar condom ka use karna chahiye

Jab bhi aap sex karein, har baar. 

Condom ki kimat kitni hoti hai?

Har condom 5 rupaye se 20 rupaye tak. 

Lekin inhe aap family planning centre ya clinic se free me le sakte hain.

Mujhe condom kaha se mil sakte hain?

Medical store, kuch super market aur family planning centre ya clinic se condom liya ja sakte hain. Kabhi kabhaar bars aur public toilets ke paas lage vending machines se bhi condom mil sakte hai. Kabhi kabhaar family planning clinic bhi condom free of cost provide karaate hain.

Logo ko condom ka use karna kayi reason se pasand hai:

  • Milne me aasani
  • Pregnancy aur STD, dono se bhi bachne ka sasta solution
  • Halka aur ek baar use kiya jaane wala
  • Kisi doctor ke nuskhe ki zarurat nahi
  • Purushon ke liye sex ka duration badh sakta hai

Kuch log kehte hai ki condom ka use karne se wo sex jyada enjoy karte hai , kyuki wo Pregnancy aur STD se dare bina sex ka anand le sakte hai. Condom pehnana foreplay ka hissa ban sakta hai - Zada information ke liye purush condom kaise pehne padhen.

Nuksaan?

Mote taur par condom ka use karne wale 100 me se 6 logo ko latex condom se allegy hoti hai. Agar apko latex se allergy hai toh aap polyeuthrene condom ka use kar sakte hain aur apni female partner ko female condom ka use karne ke liye keh sakte hain.

Kuch couples condom ka use karne se apne sex ke anand me kami mehsus karte hain. Agar apko iski chinta hai toh sujhaav ke liye yaha click karen.

Kuch purusho ko condom pehenne par penis me tension rakhne me pareshaani mehsus karte hain. Agar apki female partner ko female condom ka use karti hai toh possibly aisi problems nahi aati.

Purush, condom ka use karne me hesitation ya embarrasment mehsus kar sakte hain, agar aisa kuch lagta hai toh condom pehenene ka exercise karen. Condom pehnna kaafi exciting ho sakta hai aur ise sex se pehle ki jaane wali foreplay ka hissa banaya ja sakta hai. Zyada information ke liye purush condom kaise pehne? padhe.

STD se protection?

Haa. Condom iklauta garbh nirodhak hain jo HIV-AIDS jaise STDs/STIs yaani yaun sankraman se bachata hai.

Mai apne partner se condom ke use ke baare me kaise baat karu?

Apne partner se condom ka use karne ke baare me baat karna zaruri hai. Ho sakta hai aap uncomfortable feel kare, lekin iss baare me soch lein - agar aap ladki hain toh kya yeh kehna zyada uncomfortable nahi hoga ki aap pregnant ho gayi hai? Aur yeh ki apko STD ho gaya hai, ladke aur ladkiyo, dono ke liye kaafi difficult hoga. Isliye pehle hi condom ke use ke baare me baat kar lena zada achcha rahega. 

Baat karne se pehle iski practice kar lein ki aap kya kehne wale hain. Condom ka use karne ke baare me aap apne partner se kya kahenge, iss baare me vichaar kar lein. Agar apko kisi help ki zarurat mehsus hoti hai toh zyada information ke liye condom ke baare me baat karna link par click kare. 

Comments
Add new comment

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>