condom size
Shutterstock/Nopphon_1987

Condom ke saath sex - doubts clear karte hain

Condom sabse zada istmaal hone wala contraception ka tareeka hai aur sex sankramit (sexually transmitted disease) rogon se bachata bhi hai. Lekin kya condom use karne se sex ka mazaa kam ho jata hai? Kya condom hamesha kaam karta hai? Kya do condom ka istmaal karna chaiye? Aaiye, condom se jude kuch galat dharnao ke baarein mein baat karte hain.

Hum yahan baat kar rahe hai jyadatar istmaal hone wale men condoms ki, lekin mahilaon ke condom bhi hote hain jo ki yoni ke andar pehne jaate hain.

Myth 1 : Condom ka istmaal karne se sex main maza nahi aata aur dono partners ki excitement bhi kam ho jaati hai

Condom ka istmaal aapke uss khaas pal ko bilkul kharab nahi karta. Example ke taur par, aap condom pehnne ko foreplay ka hissa bana sakta hain. Humari khaas tips padhiye iss baare me.

Condom bohot alag alag size, aakar, rang, banawat aur swaad me aate hain, toh aap iss tarah ki variety ka pura mazza utha sakte hain. Aur condom asal me sex ka mazza aur badha bhi sakte hain. 

Ek research ke anusaar jin purushon main veeryapaat (ejaculation) jaldi ho jata hai, unke liye condom ka use helpful ho sakta hai. 

Sabse zaroori baat toh ye hai ki koi bhi chinta aapke sex ka mazaa kharab kar sakti hai. Ab agar aapko unwanted pregnancy ya yaun rog/STD’s ke baare main chinta nahi hogi to aap zyada relax ho sakenge aur sex ko aur enjoy kar sakte hain. Aur condom issi kaam mein help karta hain.  

Myth 2 : Agar wo virgin hai to condom ki zaroorat nahi hai 

Jab aap pehli baar sex karte hain, tab bhi pregnant hone ke aur sex sankramit beemariyo (STD) ka chance hota hain. Anchahi pregnancy aur yaun sankramit rog (STD) se bachne ka keval ek hi tareeka hai, aur wo hai condom use karna. Ismein purush aur mahila dono ke condoms shamil hain. Padhiye : Pehli baar sex.

Myth 3 : Ek he time pe do condoms ka istemal karna zyada surakshit hai

Ek hee time par do condoms ka use karna bahut bura idea hai, kyuki aise main condom ke phatne ka chance aur badh jaati hai. Condom iss tareeke se use karne ke liye bana bhi nahi hai. Aur agar aisa hota toh condom banane wali companies double condom hee bana deti!   

Ek condom ka use utna he safe hai jitna wo ho sakta hai - zaroori hai iska sahi se use ho!

Myth 4 : Condom aasani se fatt sakte hain aur sex karte samay aasani se bahar fisal bhi sakta hai

Zyadatar cases me jahan condom fatt jata hai ya fisal kar bahar aa jata hai, aisa isliye hota hai kyuki condom sahi tareeke se nahi pehna hota hai. Example ke taur par oil based chikne padaarth ya lubricant use karne se condom fatt sakta hai. Lekin condom ko sahi use karne se, condom ke fail hone ka chance kewal 3 percent hee reh jaata hai.

Sirf yeh janna zaroori hai ki condom ko theek tareeke se kaise pehne - Condom pehenne ki jaankaari ke baare me padhiye aur saath me safety tips bhi janiye.

Myth 5 : Condom ke use se apko cancer ho sakta hai ya apke sperm (shukraanu) par bhi asar daal sakta hai

Condom ko use karne se koi side effect nahi hote. Iska use puri tarah se safe hai aur yeh toh apko anchahi pregnancy se aur yaun sankraman rog (STD) se bachata hai -- isme cervical cancer aur infertility bhi shamil hai. 

Jahan tak ejaculation ka sawaal hai, jab condom ka istmaal hota hai, tab bhi purush ka ejaculation bilkul normal hota hai. Condoms ka male sperm ki quality par koi asar nahi hota. 

Myth 6 : Condoms aasani se toot sakte hain ya andar fisal sakte hain 

Agar condom ko sahi tareeke se pehna jayega ya utara jayega, toh uske fisal jane ka chance bahut kam hoti hai. Lekin agar aisa hota bhi hai, toh usko yoni (vagina) ke andar se bahar nikalna bahut aasan hota hai. Aap khud apne haath se usse nikaal sakte hain. 

Aur agar na bhi kar payein, toh apne doctor ke paas jaakar aap unki madad lekar ise nikaal sakte hain. Lekin, kyuki condom fisal jaane se shukranu shayad yoni (vagina) ke andar chale gaya hon, toh emergency contraception lena na bhulein. 

Myth 7 : Jin logo ko rubber se allergy hoti hai woh condom nahi use kar sakte

Anchahi pregnancy ya yaun rog/STD’s se bachne ke liye rubber (latex) wale condoms  sab se best hote hain. Lekin agar rubber se allergy hai toh aap bhed ki khaal (lambskin) se bane condom ya polyurethane se bane condom use kar sakte hain. 

Polyurethane condom rubber condom ke baad sabse achcha option hai. Yeh condom thode zyada patle aur mehenge hote hain. Ek achchi baat yeh hai ki isme aap apne saathi ki garmahat aur bhi achche se mehsoos kar sakte hain. 

Polyurethane se bane condom bhi anchaahe garbhdhaaran(unwanted pregnancy) se aur yaun sankramit rog (STD) ke liye utne hi useful hote hain jitne ki rubber waale condom. 

Lekin kyuki yeh zyada patle hote hain toh inke fatne ka ya fisalne ka darr thoda zyada hota hai. Lekin bhed ki khaal wale condom keval anchaahe garbhdhaaran (unwanted pregnancy) se hi bachaav karta hai lekin yaun sankramit rog se nahi.

Myth 8 : Jin purushon ka ling (penis) bada hota hai, wo condom use nahi kar sakte

Condom alag alag size aur shapes me aate hain. Lekin adhiktar condom lagbhag sabhi ko fit aa jaate hain. Agar aap kisi tarah ke condom se takleef mehsoos karte hain, toh aap koi aur brand wala condom use karke dekh sakte hain. 

Gopneeyata ka dhyaan rakhte hue naam badal diye gaye hain aur photo mein model hain.  

Koi sawaal? Neeche tippani karen ya hamare charcha manch - Just Poocho pe Love Matters ke experts se poochein. Hamara Facebook page check karna na bhoolein. 

Comments
Add new comment

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>