Virginity kya hai
Virginity ki koi ek definition nahi hai. Agar ise easy words me samjha jaaye toh virginity ko ‘abhi tak sex na karne ki’ situation kaha jaa jaata hai. Lekin isse ek question yeh uthta hai ki sex kisse actviity ko mana jaata hai. Kayi cultures me, penis-vagina sex ko sex maana jata hai. Matlab yeh ki agar kisi sexual act ke dauraan ek male, female ki vagina me penis ka penetration hua hai toh unn dono ko hi virgin nahi kaha ja sakta.
Halaki, sex me different type ki activities ho sakti hai jisme kayi sexual organs shaamil hote hain. Yehi reason hai ki sex ya sexual experience kise kaha jaaye, uska daayera behad bada hai.
Penis ka erect hona, vagina me wetness, hastmaithun aur oral sex, ye sabhi sexual activities hai. Iske alawa aisa koi bhi kaam jo sexual pleasure ke liye kiya jaaye jaise ki foreplay, partner ke sexual organs ko touch karna aur kiss bhi sexual activities hain. Agar is nazariye se dekha jaaye toh har wo insaan jisne inme se koi bhi type ki sexual experience kiya ho, use virgin nahi kaha jana chaiye.
Kya yeh female aur male dono par laagu hota hai?
Haan! Koi bhi insaan - female, male, transgender, heterosexual aur homosexual - jinke paas kisi bhi tarah ka sexual experience nahi hai, wo 'virgin’ nahi hai.
Iss sabke bawajood jab bhi virginity ka zikr kareini to sirf mahilaon par he focus hota hai. Zyadatar societies me iss baat par naa toh zyada discussion hoti hai aur na hi iss ko itna importance diya jaata hai lekin ladka virgin hai ya nahi. Dursi taraf virginity ko ‘female’ ka ek sign maana jata hai jise sidhe uski family ki respect se joda jata hai.
Iske alawa, history me, kyuki garbhbirodhak/contraceptives tareeke ya toh unavailable the ya utne effective nahi the jitne aaj hain, isliye ek female ke liye marriage se pehle pregnant hone se bachne ka iklauta tareeka tha virgin rehna -- kyuki shaadi se pehle pregnant hona pehle bhi aur aaj bhi societies me socially acceptable nahi hai.
Hymen aur myths
Females me virginity ke saath ek myth aur juda hua hai. Wo ye hai ki jab bhi ek mahila ki vagina/yoni main purush pehli baar apna ling sex karne ke liye daalta hai toh yoni ke entrance me ek patli si skin fatt jaati hai.
Skin ka yeh tukda hymen ke roop me jaana jaata hai aur yeh maana jata hai ki iske fatne par blood aata hai, jisse yeh mana jata hai ki yeh sex uss aurat ka pehla sex hai - aur uss sex se uski jhilii tooti (ya virgnity khatam huee). Magar yeh ek galat dhaarna hai.
Hymen koi seal nahi hai jo sirf purush ke ling ke yoni me pravesh karne se hi tut sakti hai. Yeh vagina ka ek patla hissa hai,vagina ke bahar, uske andar nahi. Hymen ke different shapes aur sizes ho sakte hain. Aur iski width bhi alag alag mahilaao me alag hoti hai.
Kuch mahilaao me yeh sex ke bina bhi fatt sakta hai jaise sports ke dauraan, girne ya kheechne se jabki kuch me yeh pehli baar sex ke dauraan fat jata hai toh kuch me bachche ko janam dene ke bawajood bhi ye jaise ka waisa rehta hai. Iske alawa, yeh information aapke liye aashcharyajanak ho sakti hai, lekin kuch mahilaao me hymen hota hi nahi hai!
Toh kya virginity ka pata lagaya ja sakta hai?
Nahi, agar pehli baar sex ke baad kisi mahila ki yoni se blood na nikle toh iska yeh matlab nahi hai ki wo virgin nahi hai. Koi aur tareeka bhi nahi hai jisse yeh pata chal sake ki koi mahila virgin hai ya nahi.
Yaha tak ki ek behad experienced doctor bhi nishchit roop se yeh nahi bata sakte ki koi mahila virgin hai ya nahi, isliye kisi bhi virginity test ko trust nahi kiya ja sakta hai. Males ke liye bhi tighter penis ya delayed orgasm ko virginity se nahi joda ja sakta.
Kya isse farq padna chaiye?
Nahi, isse koi farq nahi padhna chahiye. Aapsi sukh, aapsi sehmati aur garbhnirodhak hi teen mudde hain jo sexual relations me important hone chahiye. Koi virgin hai ya nahi isse kisi ke bhi sex life me na toh kuch judta hai aur na hi kuch ghat ta hai.
Phir bhi agar aapke liye ‘virginity’ important hai toh baad me difficulties se bachne ke liye rishte ki shuruwaat me hi apne partner se ispar discussion karna behtar hoga.
Apne partner ki virginity situation jaanne ka ilkauta tareeka kya hai: Aap sirf unse puch sakte hain aur fir unke jawaab par vishwaas kar sakte hain. Lekin agar aapko unki baat par vishwaas nahi hai toh aapka bhagwaan hi maalik hai kyuki aisa koi bhi witness abhi toh available nahi hai jo iss vishwaas ki kami ko poora kar sake.
Kya virginity waapis layi ja sakti hai?
Sach kahe toh waapis lane ke liye kuch hai hi nahi. Agar kisi ne sex ka experience kiya hai toh kiya hai. Aur kyuki pehli baar sex karne ka koi sign nahi hota hai, isliye aisa kuch bhi nahi hai jiska restore kiya jaaye. Aur ek baar fir se bata dein ki jhilli ka fatna ya blood aana ya nahi aana iss baat ka bikul pramaan nahi hota ki kisi ne pehle sex kiya hain ya nahi.
Isi tarah, “Hymenraphy” naamak surgery se keval “Hymen ka restructuring” ya “ yoni ya ling ko kasne” jaise physical changes hi laaye ja sakte hain. Aisi processes ko virginity ko restore karne wale process kehna sarasar galat hoga.
Virginity - Mahilao ke liye ek danger hai?
Kayi log jo virginity me vishwaas rakhte hain, woh kehte hain ki virginity mahilaao aur ladkiyo ki suraksha karta hai. Lekin badkismati se, virginity ko itne zyada value dene se ladkiyo aur mahilaao ko un logo se hinsa, bura bartaaw aur hamle ke zokhim ka dar rehte hau, jo sochte hain ki ek mahila ki ijjat uske sexual behaviour se jud huyi hai. Example ke taur par, duniya ke kayi pichde hue ilakon mein, dahej (dowry) ko kum karne ke liye ek ladki ka rape hona aam baat hai.
Iske alawa, female ke private parts kaatne jaisi dangerous method sirf isliye popular hain kyuki ladkiyo aur mahilaayo ko sex karne se roka ja sake. Phir chaahe isse unki life khatre me kyu na pad jaaye.
Virginity se jude myths par se parda uthata, love matters ka yeh shaandaar video zarur dekhe!
Yeh article pehli baar 18 January, 2018 ko publish hua tha.
Kya aapke virginity se related koi question hai? Humare facebook page par aap humhare specialist se baat kar sakte hai. Agar aapke paas koi special question hai, toh please humhare discussion board par jaaye.