How to increase sperm count
Shutterstock/Sai Tha

Apne sperm count kaise badhaye?

Kya aapke sperm count ko badhane ka koi tareeka hai? Love Matters aapke liye kuch easy lekin effective solutions laya hai jisne aap bina dawai,surgery ya injection ke apne sperm count ko behtar banane ki koshish kar sakte hai.

Infertility ek badi common problem hai, jo bahut saare couples ko hoti hai. Research ke mutabik, 6 couples me se 1 ko naturally pregnant hone me mushkil aati hai, aur inme se 50% cases me male infertility ek major reason ho sakta hai.

Yeh apke partner ke saath family start karne ke apke plan ko kharaab kar sakta hai, aur aksar rishte me tension ka reason ban sakta hai.

Halaki infertility ke mudde hamesha treatment se theek nahi hote hain, lekin kayi cases me sperms count, quality aur mobility jaisi problems ko kuch lifestyle me change ke saath solve kiya ja sakta hai.

Ayiye kuch easy lekin useful solutions par dhyaan dein jinse aap bina dawai,surgery  ya injection ke apne sperm count ko improve kar sakte hain:

Regular exercise kare aur apna weight control karein 

Ek heathly BMI (Body Mass Index) ko banaaye rakhne ke kayi benfits hote hain, aur unme se ek behtar sperm count hai. Agar apka weight zada hai, toh regular exercise aur healthy aur balanced diet ko follow karna apke sperm count ko badhaane ke liye ek achchi shuruwaat ho sakti hai. 

Ek research me paya gaya hai ki 16 weeks tak regularly aerobic jaisi exercise karne se sedentary lifestyle aur overweight hone jaisi problems face kar rahe logo me sperm ki quality me improvement ho sakta hai.

Cigarette chod dein 

Yeh 2020 hai aur smoking ke kayi harmful effects humare aas paas dekhne ko mil rahe hai. Apke heart, lungs aur immunity ko affect karne ke alawa, smoking apke sperm count ko bhi affect karta hai. Agar aap IVF ( In Vitro Fertilization) jaisi medical processes ko jhele bina ek family start karna chahte hain, toh cigarette peena chod dein. 

Sharab aur drugs sperms ke liye ache nahi 

Jaha kabhi kabhaar sharab peena aapko maza deta hai, wahi har roz sharab peena aapke sperm count ke liye harmful ho sakta hai. Isliye sharab peene me control laana semen ki quality ko banaaye rakhne ke liye sahi direction me me uthaya gaya step hai.

Drugs jaise marijuana, heroin and cocaine bhi apke sexual health ke liye harmful hota hai. Apne life ko aage aane wale harmful affects se bachaane ke liye apko inn chizo se puri tarah bachna chahiye.

Vitamin D ke usage par dhyan dein

Vitamin D naturally sunlight se mil sakta hai. Aaj zyadatar logo me iski kami paayi jaati hai. Iss kami se bahut saari health problems ho sakti hain, jisme purusho me napunsakta bhi shaamil hai. Bahut saare different researches ne purusho ki fertility aur vitamin D ki maatra ke beech ek clear relation bataya hai.

Apne body me vitamin D ke level ka pata lagana aur safe medical advice ke saath ise diet me shaamil karna ek achcha vichaar hai. Lekin humesha koi bhi cheez shuru karne se pehle doctor se baat karen kyuki irregular use fayede se zada nuksaan kar sakta hai.

Antioxidants ki quantity badhaye

Hamare environment me polulution aur pollutants ke lagataar contact me aane se body ke andar free radicals ka development hota hai. Yaha tak ki healthy lifestyle ke liye determined log bhi iske side effects se nahi bach sakte hain. 

Anti-oxidants yukt khaane ke padaarth jaise ki jaamun, hari pattedaar sabziyaan, nuts aur fish ki quantity diet me badhaane se inn free radicals ko inactive karne aur naturally perms count me improve karne me help mil sakti hai.

Apne sperm count ko better banaane ke liye bad fat walee khanee ki cheezein jaise gosht meat, fried khana (samosa ya burger), butter aur bhaari cream jaise high-fat item apni diet se door karen. Ache fat wale khane jaise ki zaitoon oil, eggs, kaju-badaam aur halke meat (chicken ya fish) ko diet me shaamil karen. 

Ashwagandha ka use kar sakte hain

Ashwagandha, jise Indian gensing ke roop me bhi jana jata hai, ko Ayurved mein bahut mana jaata hain. Iss sadabahaar paudhe ko sexual diseases ka treatment karne ke liye use kiya jaata tha. 

Jaise jaise ayurved ka gyaan jeevan me wapasi kar raha hai, waise waise yeh puraane upchaar fir se waapis aa rahe hai. Ek medical research ne ashwagandha extracts ko sperm count me improve karne me effective paya.

Agar aap ise try kar decision lete hain, toh registered Ayush doctors kee guidance me hee aisa karna shuru karen jo apke ke swasthya ki jaanch karke apko sahi dose bata sake.

Apne stress ka level kum karen

Stress yani tanav na keval aapke aur aapke partner ke beech sex mein ek rukawat ban sakta hai, balki male fertility par bhi galat asar daalta hai. Lifestyle me change la kar stress ke level ko khatam nahi bhi kiya jaaye toh kum kiya sakta hai. 

Jab aap har samay stress feel nahi karte hain toh apka cortisol (ek hormone jo body ke andar ke alarm system ko chalata hai) ka level limited rehta hai. Isse testosterone (male sex hormone) behtar tareeke se kaam karta hai.

Bahar walk, meditation/dhyaan, exercise, family aur friends ke saath zada time bitana ya ek bahiya hobby apnana etc aapke stress ke level ko kum kar sakta hai. Inme se kaun sa ek tips apke liye sabse achcha kaam karta hai, yeh dekhein aur aaj hi use apna lein. Har din thodi si progress bade results ko laati hai.

Koi sawaal? Neeche tippani karen ya hamare charcha manch - Just Poocho pe Love Matters ke experts se poochein. Hamara Facebook page check karna na bhoolein. 

Comments
Add new comment

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>