same sex marriage, lesbian marriage, gay marriage
© Love Matters India

Kya same sex couple India mein shaadi kar sakte hai?

Jab bhi hum “shaadi” shabd sunte hain, toh humare man me turant ek dulhe aur dulhan ki picture ban jaati hai. Lekin dulhe- dulhe aur dulhan - dulhan ki shaadi ho toh?

Kya hoti hai same sex marriage?

Agar ek hi gender ke do log shadi karna chahe toh usse same sex shaadi kaha jata hai, jaise ki females ki ek dusre se shaadi. Halaki India me yeh abhi legal nahi hai lekin kayi aisi countries hai jaha same sex marriage ko legal mana jaata hai.

Kaun si aisi countries hain jaha same sex marriage legal hai?

Same-sex couples ke beech marriage ko kum se kum 26 countries mein legal hain. Halanki niyam aur sharte har desh mein alag alag hain. Netherlands aisi pehli country thi jisne year 2000 me same sex marriage ko manyata dee, jabki December 2017 me Australia aisa karne wali latest country bana.

1989 me Denmark same sex couple ko saath rehna allow karne wali pehli country bana tha.

India me abhi tak yeh law kyu laagu nahi kiya gaya hai?

India me, same sex marriage ko abhi tak koi sarkari ya kanuni manyata nahi mili hai. Magar kayi homosexual couple religious ceremonies me ek dusre se shaadi ke bandhan me bandh chuke hain.

India mein shaadiya Hindu Marriage Act ke antargat Hindus, Buddhists, Jains aur Sikh dharm manane wale log shadi kar rakte hain. Islmic shaadiya Muslim personal law ke antargat hoti hain. Iske alawa Special Marriage Act un logo ke liye hain jaha shadi karne wale do alag dharmo se ho. Lekin ye sab prakar ki shaadiya kewal ek aadmi aur aurat ki shadi ko hee pehchante hain. Inme se kisi bhi tereh se kee gayi shadi ko register karne par form mein keval Husband(Man) aur ek wife(Woman) ke description bharne ke liye hi jagah hai. Same sex couple couple ke liye abhi tak koi bhi provision nahi hai.

Iss mudde par Article 377 ka kya asar padta hai?

6 September 2018 to India ke Supreme Court ne yeh faisla sunaya ki dhara 377 ke tehet homosexuality/samlaingikta to galat manana gair kanooni hai. Is faisle ke baad se, do saman ling wale vyasakon ( 18+ logon ke beech) shareerik samabhandh India mein ab illegal nahi hai. Halanki Bharat main abhi bhi same sex ke logon ke beech ke sambhandon ko koi kanooni manyata nahi hai. 

Udaharan ke taur pe - samlaingik jode aaj bhi beema, sampatti ya virasat ke adhikaron par dawa nahi kar sakte. Samlaingik vivah ko legal karne ki apeal par adalat mein sunwayee chal rahi hai. Haal hee main sarkar ki aur se adalat mein pesh kiye gaye dawe mein kaha gaya ki samlaingik shaadiyan bharat ki sanskriti ka hissa nahi hain

Daav par kya kya laga hua hai?

Isme koi shaq nahi hai ki humare samaaj mein shaadi kisi rishte ko ek pehchan deti hain jo Indian culture me bohot important hai. Isliye shaadi ka prvision same sex people ke liye zaroori hain. Halanki bahut se couples ab shaadi ki zaroort ko question karne lage hain. Magar samaaj mein pehchan ke alaaw shaadi kanooni roop se zaroori haion. 

Kanooni shaadi ya rishte mein parnter ko virasat, pension, property division jaise kayi benefits hain. Iske saath saath kisi serious beemari ke dauraan partners ko apne partners se related important decisions lene ka haq bhi deta hai. Magar chunki samlaingik samlaingil rishto ke paas aise koi adhikar nahi hote, aur isliye shaadi ka adhikaar zaroori samjha jaata hain. Kuch same sex couples iss adhikar ko bina shadi ke bhi diye jane ka demand kar rahe hain, jaisa ki recent years mein live-in (straight) couples ko India nein mila hain.  

Yeh article first time 16th April, 2018 ko publish hua tha.

*Picture ke liye model ka use hua hai.

Kya aapke paas same sex marriage ke baare me koi question hai? Humhare facebook page par ya discussion board par LM specialists se puche.

Comments
Add new comment

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>