Sheeghrapatan (Premature Ejaculation) kya hai?
Purushon main sheeghrapatan tab hota hai jab unko samay se pahale viryapaat (orgasm) ho jaye. Yeh unke control main nahi hota. Aisa kabhi kabhi sex shuru hone se pehle ya kuch he der baad ho jata hai. Kai baar to yeh bina koi shaareerik samband banaye ya sirf choone se he ho jata hai.
Pyaar ka woh sunhera pal jise hum climax kehte hain, iss problem ke chalte bura sapna ban sakta hai aur dono hi partners ko unsatisfied chod sakta hai. Ye purushon me sex se judi problems me sabse common problem hai, aur lagbhag har purush ko life me kabhi na kabhi iska anubhav ho hi jata hai.
Sheeghrapatan (Premature Ejaculation) ki wajah kya hai?
PE ki wajah sharirik (physical) ya maansik (psychological) ya dono bhi ho sakti hai. Iska asar unn jawaan ladkon ko zyada bhugatna padta hai jinki sex life haal hi me start huyi ho. Unke dimag me achcha perform na kar paane ka darr baitha hota hai jise ‘performance pressure bhi kehte hain. Experience aur age ke saath aksar purush control karne ki iss kalaa me maahir ho jaate hain lekin har baar kaamyaabi mile iski koi gaurantee nahi.
Iss situation ke peeche kuch aur psychological reason bhi hain – jo ki rudhivaadi soch se aate hain, jaisa kai deshon mein yaa samudayon mein sex ko ek hawua banaya hua hota hai. Iski kai aur wajah bhi hain jaise kaam se related stress, tension, nirasha, guilt ya phir sex se juda purana koi bura experience.
Kai baar penis ke upari part ka oversensitive hona, hormone problem, drugs, puraani chot ya koi aur dimagi pareshaani ki wajah se bhi ho sakta hain. Kuch cases me iski wajah sex ko lekar interest aur attraction ki kami bhi hoti hai
Aap kya kar sakte hai?
Jis tarah waqt aur practice ke saath bachche peshaab par control karna seekh jaate hain theek usi tarah bohot se cases me koshish karke ejaculation par control paya ja sakta hai. Rest technique ya dhyaan baantne ki technique bhi asardaar hoti hai. Lekin skhalan (ejaculation / viryapaat) par mahaarat haasil karane ka sabase achchha tareeka hai ki aap apne partner ke saath mil kar un tareekon ko pehchaan lein jo aapko orgasm ke paas aate samay hoti hain aur yeh samjhein ki aapko kis tareeke se orgasm jaldi hota hai.
Apne saheer ko janana, samajahna aur apne shareer par confidence hona bahut zaruri hai. Aur apne saathi ki shareer ko samajahna aur ek dusre ke saath sharirik taal-mail bethana bhi bahut zaruri hai.
Condom ya cream aur gel ka use bhi helpful saabit ho sakta hai kyuki yeh sensitivity me kami lata hai. Apne doctor se iss vishay me salah aur agar zarurat lagey to dawa bhi li ja sakti hai.
Sheeghrapatan dono partner ke liye dukhdayi
Sex life ke liye sheeghraptan ek kharab news ki tarah hai. Jab purush har samay iss dabaav me sex karta hai hi sex acha hoga ya nahin, toh uske liye sex ka luft utha pana impossible ho jata hai aur saath hi sheeghrapatan dono partners ko unsatisfied (asantusht) awastha me chhor deta hai. Jab koi purush iss par control karne ke pressure me sex kar raha hota hai toh yeh ho sakta hai ki wo apne saathi ko sex ka pura anand dene mein safal naa ho.
Samasya purushon tak seemit nahi
Portugal me sheegrapatan pe ki gayi ek research ke anusaar sirf purush hi apne aap ko iss problem se jhujhte nahi paate. Kai baar ye pareshani mahilaon ko bhi hoti hai.
Gopneeyata ka dhyaan rakhte hue naam badal diye gaye hain aur photo mein model hain.
Kya aap sheeghrapatan (premature ejaculation) se related koi fact share karna chahte hai? Neeche tippani karen ya hamare charcha manch - Just Poocho pe Love Matters ke experts se poochein. Hamara Facebook page check karna na bhoolein.