Garbhpaat ya miscarriage tab hota hai jab pregnancy 16 weeks mein he khatam ho jaati hai. Paanch pregnancies mein se ek ke saath aisa hota hai.
Miscarriage ke symptoms kuch iss tarah hain:
- Serious pait dard ya aethan
- Light se serious peeth dard
- Bhari spotting (khoon ke dhabbe padna)
- Vaginal discharge aur bleeding
- Vaginal se discharge hona,
- Contractions
- Thakaan
Bleeding
Jab aap pregnant hain toh aapki vagina se bleeding ya apki underwear par khoon ke dhabbe aapko dara sakte hain. Aap maan sakti hain ki aapka miscarriage hua hai. Lekin ghabrayein nahi.
Pregnancy ke dauraan apki cervix ki blood vessels soft ho sakti hain aur unse aasaani se bleeding ho sakti hai, isliye aapki underwear me ya bedsheet par bloodspots dikh sakte hai. Aap ise naak se blood nikalna jaisa maan sakti hai. Yeh aksar sex karne ke baad ho sakta hai kyuki sex ke dauraan penis womb se takrata hai. Lekin isse broon (fetus) ko koi nuksan nahi pahunchta.
Halanki pregnancy ke dauraan har tarah ki bleeding bina nuksaan wali nahi hoti. Yeh miscarriage ki shuruaat bhi ho sakti hai. Bleeding Ectopic pregnancy ka bhi symptom ho sakta hai, jisme bachcha uterus ke bahar badh raha hota hai.
Isliye agar pregnancy ke shuru ke dino me apko bleeding hoti hai, toh shayad koi pareshaani wali baat nahi hai, phir bhi apko Doctor ke paas jaakar checkup kara lena chahiye.
Miscarriage ke symptoms kya hote hain?
Shuru me miscarriage me bleeding hoti hai, aur monthly periods ki tarah dard bhare marod uthte hai. Iss samay bohot zada dard ho sakta hai, kyuki yeh ek mini delivery ki tarah hota hai.
Fetus (bhroon) aur placenta ko bahar nikalne ke liye cervix ko khulna padta hai, aur apko delivery me hone wala pain jaisa hi mehsus hota hai (uterus contract hone ki wajah se) aur isme der lagti hai. Paet ya apki peeth ke niche ki taraf garam paani ki bottle rakh kar sekne se ya garam paani se nahaane se dard me aaram mil sakta hai.
Apko normal monthly periods se zada bleeding ho sakti hai lekin agar bleeding lagataar, pani ki dhaar ki tarah ho rahi hai, ya bachche ki thaili (amniotic sac) ke bahar nikalne ke baad bhi bleeding chalu rehti hai toh apko medical help leni chahiye ya doctor ke paas jana chahiye.
Agar miscarriage ke baad bhi dard bana rehta hai, toh ho sakta hai ke sab kuch theek se bahar na nikla ho. Aisi condition me bhi apko medical help leni chahiye. Ho sakta hai uterus me jo kuch reh gaya hai use DNC (Dialation and curettage) method se nikala jaaye.
Koi question? Niche comment kare ya humare discussion platform par LM specialist se puche. Humara facebook page check karna na bhulen.