Home Pregnancy Test, How to check pregnancy at home
Shutterstock/ProStockStudio

Ghar par pregnancy test kaise karein?

Pregnancy ki jaanch karne ke tareeko mein ek bada change aaya ‘Home pregnancy test’ (HPT) ki wajah se. Iss test ke zariye mahilayen yeh jaanch kar sakti hai ki wo pregnant hai ya nahi. Ye test bahut easy hai aur ise public toilets me bhi kiya ja sakta hai. Lekin asaani se hone wali chize bhi kai baar mushkil ho sakti hai. Isliye pregnancy kits ka use karne se pehle kuch facts janana bahut zaruri hai.
Kya karen (DO’s) -
Subah ka pehla urine (peshaab)

HPT se yeh pata chalta hai ki mahila ke urine me HCG naamak hormone maujood hai ya nahi. HCG ek hormone hai jo ande ke garbhaashay (uterus) me thehrne (implant) ke baad shareer mein banta hai, yaani tab, jab ek mahila pregnant (garbhvati) hoti hai.  Subah ke pehle urine me iss hormone ka amount sabse zada hone ki possibility hoti hai, yahi vajah hai ki iska subah ke peshaab se aaya result sabse sateek (accurate) samjha jata hai.

Zyaadatar pregancy test kit bahut saste hote hai aur inki keemat kareeb 100 rupay se shuru hoti hai. Ab to market me aise bhi kai pregancy kits available hai jinhe sidhe peshaab ki dhaar (urine stream) kei beech mein rakhne se hi pregancy test kiya ja sakta hai. Iske liye alag bartan mein urine ikattha karne ki zaroorat nahi hoti hai. Lekin ye preganancy test kit normal kit se zyada mehenge hote hai.

Intezaar kare! (Wait!)

Isme koi doubt nahi hai ki HPT kit turant result dete hai aur yahi inki sabse badi khaasiyat hai. Lekin yaad rakhiye strip ya card par line dikhne tak intzaar karna important hai. Zyadatar pregancy kit apko final result bataane me 5 se 10 minute tak intezaar karvate hai. Kuch aise bhi hai jinke result aane me isse bhi zyada samay lag sakta hai.

Test kaise kare

Market me milne wale zyadatar pregnancy kits par yeh instruction likha hota hai ki stick ko mootradhaara (urine stream) ke beech mein rakhne ke baad ise ek samatal satah (flat surface) par rakhe aur kuch minute intezar kare. Jabki kuch kits me stick ko urine cup me dubone ki salaah di jaati hai. Kuch ke saath dropper bhi diya jata hai. Har test kit me diye gaye nirdesh (instructions) ko dhyaan se padhkar unko follow kare. Pregnancy test ke liye urine ki keval do-teen boonde hi kafi hoti hai.

Test ke result ko aise samajhe

Zyadatar test card ke do corner par C aur T likha hota hai. C matlab control. Ye line hamesha clearly dikhayi deni chahiye kyonki yeh comparison line hoti hai. T aapke pregnancy test ke result ka sanket dega. Yaani aap pregnant hain ya nahin ye  indicate karega.

Jis jagah par C likha hai agar vaha par sirf ek pink ya purple line dikhe to iska matlab hai ki pregnancy test negative hai yaani aap pregnant nahi hain.

Lekin agar do pink ya purple line dikhai deti hai jinme se ek C area mein jabki dusri T area mein dikhti hai to iska matlab hai ki pregnancy test positive hai matlab aap pregnant hain.

Agar koi line dikhayi nahi deti hai to test sahi tareeke se nahin hua hai. Iss test ko 72 ghante baad nayi kit se dobara karein.

Medicine test ke result impact kar sakti hain

Halaki zyadatar Home Pregnancy Kit 97% se 99% result dete hai. Lekin agar aap pehle se kuch dawayo ka sevan kar rahin hai toh pregnancy result par iska asar ho sakta hai. Jaise ki agar aap chinta aur tanaav door karne ke liye dawaaye le rahi ho toh inn dawao me HCG hota hai jo pregnant na hone ke baawajood bhi test positive dikha sakta hai.

Expiry date check kare

Dusri chizo ki tarah pregnancy kit ki bhi expiry date hoti hai isliye medical store se kit kharidte samay, label ko dhyaan se padhe aur iske banne aur kharab hone ki date dhyan se dekh le. Isse pregnancy result zada effective aur sateek(accurate) hoga.

Kya na kare (DON’TS)
Test me jaldbaazi na kare

Unprotected (bina condom ya koi aur garbh nirodhak ke bina) sex karne ke ek din baad hi pregnancy test ki jaanch na karen. Behtar yehi hoga ki apne partner ke saath unprotected sex karne ke kum se kum 10 din baad pregnancy test karein.

Ab aise bhi test available hai jo periods miss hone ke 4 din pehle tak bhi pregnancy ka sateek result dene ka dawa karte hain. Aap periods miss hone ke baad bhi iss test ko kar sakti hain. Aisa isliye kyuki time ke saath HCG ka level badhne lagta hai aur periods rukne ke pehle din yeh sabse zada hota hai.

Nirdesh /Instructions ko undekha na kare

Kayee log pregnancy kit par likhe instructions ko andekha kar dete hain. Lekin test karne se pehle bhi poora dhyan dena important hota hai. Bohot si kit ke alag-alag istmaal karne ke tareeke aur nirdesh saath aate hain, isliye instructions ko bahut dhyaan se padhe. Saaf bartan ka use kare.

 

Pehle result ko hi last na maane

Unprotected (bina condom ya koi aur garbh nirodhak ke bina) sex karne ke 21 dino ke andar do baar home pregnancy test karna behtar hota hai. Negative result ana impossible nahi hai lekin kayi baar test kiya jana chaiye kyuki agar urine me HCG hoga toh yeh zarur badhega. Home blood test, pregnancy test se zyada accurate hota hai. Toh wo bhi ek alternative (vikalp) ho sakta hai.

Unexpected result aane se ghabraaye nahi

Agar aap pregnancy ke liye pehle se taiyaar nahi ho aur unwanted result saamne ata hai toh pareshaan na hoye. Bechain hone se apki pareshaaniya keval badhengi. Unwanted pregnancy se nipatne ke bhi kayi upaaye hain. 

Iss situation me doctor se salaah lena bohot zaruri hai. Apne partner, friends aur parivaar ki help lein aur soch samajhkar decide kare.

 

Gopneeyata ka dhyaan rakhte hue photo mein model hain.  

Koi sawaal? Neeche tippani karen ya hamare charcha manch - Just Poocho pe Love Matters ke experts se poochein. Hamara Facebook page check karna na bhoolein. 

Comments
Shilpi
Thu, 07/09/2020 - 02:45 pm
Mam Maine apne bf k sath date se phle sex Kiya that..ab pichlee 2 mhino se mujhe naam maatr ki hi date aa rhi h NAA barabar..Kya main pregnant hi??
Shilpi bete chahe aniyamit hi sahi, yadi unsafe sex ke baad bhee periods ho rahe hain toh ismein pregnancy ke chances na ke barabar hai. Phir bhi yadi aap aur safe hona chahtey hain to chemist se liya gaya ek Home pregnancy test kit se test kar leejiye aur sthiti nischit kar leejiye. Kripya aaj ke baad condom ka nirdharit upyog keejiye. https://lovematters.in/hi/pregnancy/unsure-about-being-pregnant/unsafe-sex-missed-period-am-i-pregnant https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Mam mere g.f ka saath maina date sa pehla sex kya tha bina condom ka.aur uska 2 mahina sa periods bhe nhe hoo rhaa ... 15 din pehla check kra tha ussma (prega news kit sa ) felt negative aaye thee.... Ab ussna 3 din pehla check kra usaka 2 line aaye hai. Plz kuch solution btaya ....
Bete agar period nahi aa raha hai aur pregnancy test se bhee pata nahi chal pa raha hai toh phauran kisi vishesagya ya achchhe panjikrit doctor se mill lijiye. Kripya safe sex ke liye condom ka anivarya roop se istemaal kijiye. Madad ke liye Yeh bhi padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy https://lovematters.in/hi/pregnancy/unsure-about-being-pregnant/unsafe-sex-missed-period-am-i-pregnant Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Shruti bete yadi yeh unsafe sex tha, toh ismein pregnancy ke chances ho skate hain. Iske liye phoran chemist se liya gaya ek home pregnancy test kit se test lijiye. Aur nischit hone par kisi vishesagya ya achche panjikrit doctor se mill lijiye aur dekhiye kya ho sakta hai. Iske illava aap FPAI clinic se bhee sampark kar sakety hai jiski jaankari aaapko iski website pe mil jayegi. https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts https://www.ippf.org/about-us/member-associations/india Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Mam plz tell me.... I am so tense..mene mere partner se unprotected sex kiya tha 2mahine pahile.. Uske bad I take ipill or 2din main mujhe periods aagye but vo2 hi din the air blood bhi brown tha...1mahine ke bad pregnancy test ki to vo nhi negative Aayu.. Aur uske bad periods hi nhi aaye... Ab kuch samj nhi aara
Rani bete I Pill ek emergency goli hai jo ki unsafe sex ke 72 ghanton ke andar hee lee jaati hai, Lekin yeh mahila ke masik dharm par asar kar saktee hai. PLEASE in goliyoun ko laparvahi se istemaal mat keejiye. Safe sex ke liye condom ka istemal kiya jaata hai naa ki emergency pills ka bête, Aap kuchh din aur wait kar lijiye aur phir bhee period nahi aaye toh kisi vishesagya ya panjikrit doctor se consult kar lijiye. Aur jyada yaha padhiye zara: https://lovematters.in/hi/resource/safe-sex https://lovematters.in/hi/birth-control/top-10-facts-about-emergency-contraceptive-pills Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Swetha bete agar period nahi aa raha hai aur pregnancy test se bhee pata nahi chal pa raha hai toh phauran kisi vishesagya ya achchhe panjikrit doctor se mill lijiye. Madad ke liye Yeh bhi padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy https://lovematters.in/hi/pregnancy/unsure-about-being-pregnant/unsafe-sex-missed-period-am-i-pregnant Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Suraj bete yadi unsafe sex ke baad bhee periods huye hain toh ismein pregnancy ke chances na ke barabar hai. Phir bhi yadi aap aur safe hona chahtey hain to chemist se liya gaya ek Home pregnancy test kit se test kar leejiye aur sthiti nischit kar leejiye. Kripya aaj ke baad condom ka nirdharit upyog keejiye. https://lovematters.in/hi/pregnancy/unsure-about-being-pregnant/unsafe-sex-missed-period-am-i-pregnant https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
shikha
Sun, 10/18/2020 - 03:22 pm
Mane Periods ane sai 10 din phele unprotected sex kiya tha aur 10 din bad muje time per periods aa gye..aur mere pregnancy test bhi negative aya 3 bar..but muje abhi bhi dar lag raha hai ki kya mai abhi bhi pregnant ho sakti hu..sex ke 1 month bad bhi...kahi mere next period miss to nahi hoge
Shikha bete yadi unsafe sex ke baad bhee periods ho rahe hain toh ismein pregnancy ke chances na ke barabar hai. Phir bhi yadi aap aur safe hona chahtey hain to chemist se liya gaya ek Home pregnancy test kit se test kar leejiye aur sthiti nischit kar leejiye. Kripya aaj ke baad condom ka nirdharit upyog keejiye. https://lovematters.in/hi/pregnancy/unsure-about-being-pregnant/unsafe-sex-missed-period-am-i-pregnant https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
hi actually unprotected sex ke baad i got a period on time ..but after 15 days ke baad i m not feeling well like muje ometing chkar weekness aa rha h ..its pregancy symton or what
Neha bete pregnancy ke symptoms itni jaldi pata nahi chalta hai- iske anya karan ho sakta hai ya ye stress ke karan ho sakta hai. Aur yadi unsafe sex ke baad bhee periods ho rahe hain toh ismein pregnancy ke chances na ke barabar hai. Phir bhi yadi aap aur safe hona chahtin hain to chemist se liya gaya ek Home pregnancy test kit se test kar leejiye aur sthiti nischit kar leejiye. Kripya aaj ke baad condom ka nirdharit upyog keejiye. https://lovematters.in/hi/pregnancy/unsure-about-being-pregnant/unsafe-sex-missed-period-am-i-pregnant https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Ma'am mene apni partner se period ke 2 3 din bad unsafe sex kiya tha, lekin discharge bahar hi hua tha andar nhi, Abhi 1 month ho gya period aane ki date bhi 2 din phle bikl gyi Period aane ke koi symptoms nhi dikh rhe... Kya ho skta hai ma'am Kuchh suggest kijiye... And unwanted pregnancy se chhutkara pane ka koi secure and safe tareeka bhi suggest kijiye please... Thank you.
Dekhiye bete yeh ek bohot badi mithya hai ki sperm bahar nikalne se garbhdharn nahi hota hai kyunki pregnant hone ke liye ek shukranu bhi bohot kaafi hota hai. Iske liye unsafe sex ke 10 din poore hote hee chemist se liya gaya ek home pregnancy test kit se test lijiye. Phir kisi vishesagya ya achche panjikrit doctor se mill lijiye aur dekhiye kya ho sakta hai. Iske illava aap FPAI clinic se bhee sampark kar sakety hai jiski jaankari aaapko iski website pe mil jayegi. https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts https://www.ippf.org/about-us/member-associations/india Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Muskan
Sun, 11/01/2020 - 11:00 pm
Maam mene sex nhi kiya h but 2 month se jada ho gaye h or mere periods nhi aye h esa ku n mujhe kya karna chaiye ki periods aajae plz bata dijie
Muskan bete, itna late tak period ka na hona swasth nahi hai lekin periods ke late hone ka karan stress, tension ya hormonal changes ho sakte hai. Kisi ek visheshgya ya registered doctor se consult karna sahi hoga. Ok Bete! Madad ke liye ise bhee padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Ankit yadav
Mon, 11/16/2020 - 12:40 am
Hy mam Mam Mana apni gf ka sat sex Kia tha. With using condom our mam wo Mera our ouska pale bar tha but mam ousko bhaut pain ho Raha tha jasa sari girls ma. Hota ha first time sex hona ka bad fir sex hona ka 2 din bad ousko periods aa gay tha our sex hona ka 2 months phala sa he ouska periods skip Kar ja Raha tha our sex ka 2 din bad he periods aa Gaya. Fir bhi mama. Sex ko 15 din ho chuka ha. Our ab bhi ouska pet ka nicha dard ho Raha ha. Jab wo painkiller kha the ha to sahe ho jata ha fir suru ho jata ha mam Kya wo pregnant ha our mam Kya ousko ouska perents ka sat doctor ka pass. Jana safe Raha ga. Koi solution batiya mama ham dono bhaut Dara hua ha our mama ouska body ma blood bhi Kam ha our ousko lever infection bhi ha mam ham dono ko kuch samaj ma nii aa Raha ha
Ankit bete aapne safe sex kiya tha aur period bhi aa gaye hain- toh virtually ismein pregnancy ke chances nahi lagte hain, lekin yadi aur safe hona chahte hain toh ek home pregnacy test lena sahi hoga. Aur bete durd hone ka ek sabse mehtvpurna karan yeh ho sakta hai ki aapki gf sex ke liye theek tarah se tayyar hi nahi hui hon. Yeh baat bahut achhe se samjh lijiye ki sex karnye ke liye dono hi partners ko tanav mukt hona bahut hi zaruri hai! Aur dono ka tayyar hona mentally, physically, emotionally bhi bahut zaruri hai. Lekin sabse zaruri ye hai ki unke pet mein durd hai aur iske anya karan bhi ho sakte hain- iske liye phoran kisi achchhe vishesagya ya ek panjikrit doctor se mill lijiye. Ise bhi padhiye: https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts https://lovematters.in/hi/resource/ways-make-love Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Ankit bete please iske baare mein kisi achchhe vishesagya ya ek panjikrit doctor se mill lijiye. Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
preeti
Tue, 12/15/2020 - 01:06 am
mam, mera period tym.12 oct to 18 oct tak tha par me physical huyi 17th oct with period tym par hi then mene pregnancy test kiya 30.oct ko to CONTROL wali line red aur TEST wali line buht hi halki dilh rhi thi..and then 18 to 22 mene meprate davai khayi subha sham because muje PCOD bhi hai. fir muje 28 sham mei date hua light 29 ko bhi light fir 1,2 November ko muje thoda ache se hua date and fir light hi hta rha then date mera ache se finsh 5,6 mei hogya tha light period but mam normal light white discharge ke sath kbhi bhi halka brown with red mix hokr light hua aur yeh ache se band hua 11 November ko. mne fir se prega news se kit se test kiya morning mei 12 November ko to sirf CONTROL wali line mei ek hi line thi.... baki clear tha.... pa btayeh muje kya me pregnant hun ya nahi
Preeti puttar sabse pahle toh ye jaan lijiye ki yadi unsafe sex ke baad bhee periods ho rahe hain, chaahe aniyamit hi sahi, toh ismein pregnancy ke chances na ke barabar hai. Aur aapne toh Home pregnancy test bhi le liya hai jismein keval C yani control ke paas ek line dikh raha hai toh ye pregnancy ke negative report ka sign hai, yani ki aap pregnant nahi hain, so, don't worry!! Ok beta!!! Lekin kripya aaj ke baad condom ka nirdharit upyog keejiye. Ise padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/safe-sex https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Abhishek Choudhary
Sun, 01/10/2021 - 03:31 pm
Mam,maine apne wife ke saath bina condom ke saath sex kiya tha wo bhi uske period ke last din to kya wo pregnent ho sakti hai .plz help me.
Period ke DAURAAN? Tab toh pregnant hone ka chance na ke barabr hai beta. Lekin kisi bhi risk ya sankraman se bachne ke liye condom ka istemal anivarya hai. https://lovematters.in/hi/resource/faqs-period https://lovematters.in/hi/news/sex-during-my-period-do-i-need-contraception Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Nikita
Sun, 01/31/2021 - 12:52 pm
Mam ..m apny partner k sath 15 of jan ko intimate hui ...or meri periods date 27 jan ki thi bt ...aj 31st hai ..mujhy abi tak periods nhi aaye or ...ye protected sex thq ..mam please help me out ....?
Ab kya sthiti hai Nikita bête? Aapne safe sex kiya tha toh isme pregnancy ke chances toh nahi lagte. Lekin itna late tak period ka na aana swashth nahi hai aap chemist se liya gaya ek home pregnancy test kit se test lijiye aur sthiti ko nischit kar lijiye. Aur phir iske liye kisi visheshgya ya panjikrit doctor se consult kar lijiye. Ise bhee padh lijiye: https://lovematters.in/hi/pregnancy/unsure-about-being-pregnant/unsafe-sex-missed-period-am-i-pregnant Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Bete iske liye unsafe sex ke 10 din poore hote hee chemist se liya gaya ek home pregnancy test kit se test lijiye aur sthiti nischit kar lijiye. Ise padhiye: https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
preeti
Sat, 02/13/2021 - 08:52 am
Hi mam, mam mene apne partner k sath 14 jan ko sex ki tha, and first time tha toh ache se hua bhi nhi , but mene unwanted tablet le li morning m, aur muje date 2 Jan ko aaya tha par is month muje abhi tk date nhi aaya hai. kya karan ho skta hai ?
Preeti bete is goli ko lene ke baad pregnancy ke chances bahut kam ya na ke barabar rah jate hai. Unwanted ek emergency goli hai jo ki unsafe sex ke 72 ghanton ke andar hee lee jaati hai, lekin yeh mahila ke masik dharm par asar kar saktee hai, jo ho bhi raha hai. Aap kuchh din aur dekh lijiye aur phir iske liye kisi visheshgya ya panjikrit doctor se consult kar lijiye. PLEASE in goliyon ko laparvahi se istemaal mat keejiye. Safe sex ke liye condom ka istemal kiya jaata hai naa ki emergency pills ka bete, yaha padhiye zara: https://lovematters.in/hi/resource/safe-sex https://lovematters.in/hi/birth-control/top-10-facts-about-emergency-contraceptive-pills Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Preeti bete yadi unsafe sex ke baad bhee periods ho rahe hain toh ismein pregnancy ke chances na ke barabar hai. Phir bhi yadi aap aur safe hona chahtey hain to chemist se liya gaya ek Home pregnancy test kit se test kar leejiye aur sthiti nischit kar leejiye. Aur bete ulti aane ke anya karan bhi ho sakte hain, jiske liye aap ek panjikrit doctor se mill lijiye. Lekin kripya aaj ke baad condom ka nirdharit upyog keejiye. https://lovematters.in/hi/pregnancy/unsure-about-being-pregnant/unsafe-sex-missed-period-am-i-pregnant https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Shivani
Thu, 03/04/2021 - 11:20 am
Mam maine apne bf k sth periods khtm hone k 5 se 7 din k baad sex kiya thaa or ab meri period date ko nikle hue 6 din ho gye h mera pichle 1 month se pet bhi thik nhi h sex se phle se or uske baad maine date se phle bahut si slate batti bhi kha li thi or abhi bs legs me or tummy me pain h 3-4 din se aesa feel ho rha h ki period start honge pr start nhi ho rhe h me kya karu please help me mam.. me parents se bhi share nhi kr sakti or mera partner bhi door rehte h or sex kiye hue 1 month hone waala h2-3 dino me mujhe koi chakkar vometing jaisa kuch feel nhi ho rha kya ye pregnency hai ya jo maine beech me slate batti khayi thi uski wjh se bhi ho sakta h kyuki bahut baar slate khane se mere periods pr fark pdta h me bahut tension me hu please help me pregnency nhi chahti please help
Shivani bete kya aapko slate batti khane ki aadat hai ya addiction hai?? Ye aapke swasth ke liye bahut harmful hai, yadi aapko addiction hai toh please iska treatment kara lijiye- shayad ye saare problems inhe khane ki wazah se bhi ho sakte hain. Lekin yadi ye unsafe sex tha aur period nahi aaya ho toh ismein pregnancy ke chances ho skate hain. Iske liye phoran chemist se liya gaya ek home pregnancy test kit se test lijiye. Phir kisi vishesagya ya achche panjikrit doctor se mill lijiye aur dekhiye kya ho sakta hai. Iske illava aap FPAI clinic se bhee sampark kar sakety hai jiski jaankari aaapko iski website pe mil jayegi. Jaldi kijiye, time mat gavaeeye.. https://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts https://www.ippf.org/about-us/member-associations/india Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Madam, maine period k aane k baad first din hi sex kiya with condom. But meri date nhi aayi after one month. Tab maine 10 din tak wait kiya but no result. Tab maine medical store se dwaai li Jis din dwaai li usi din period aaya.... But agle din kuch bhi nhi hua... Kya main pregnant to nhi ho sakti?
Sonam bete Period ke DAURAAN? Tab toh pregnant hone ka chance na ke barabr hai beta aur aapne toh risk ya sankramn se bachne ke liye condom ka isteaml bhi kiya- toh dawa lene ki zarurat hi nahi thi. Aur periods ke late hone ka karan stress, tension ya hormonal changes ho sakte hai. Phir bhi yadi aap aur safe hona chahti hain to ek Home pregnancy test kar leejiye aur stithi nischit kar leejiye. Ise padhiye: https://lovematters.in/hi/resource/faqs-period https://lovematters.in/hi/news/sex-during-my-period-do-i-need-contraception Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Maam maine apne partner k sath 13 April 2021 ko unprotected sex kiya tha but usne unwanted tablet le li thi, aur usko period uski date se 10 phle 20 April ko aaya tha par is month usko abhi tk date nhi aaya hai. kya karan ho skta hai ?
Ayush bete agar aap pregnancy ki baat kar rahe hain toh is goli ko lene ke baad pregnancy ke chances bahut kam ya na ke barabar rah jate hai. Unwanted ek emergency goli hai jo ki unsafe sex ke 72 ghanton ke andar hee lee jaati hai, lekin yeh mahila ke masik dharm par asar kar saktee hai, jo kar bhi raha hai - aap kuchh din aur dekh lijiye phir ek panjikrit doctor se mil lijiye iske baare mein. PLEASE in goliyon ko laparvahi se istemaal mat keejiye. Safe sex ke liye condom ka istemal kiya jaata hai naa ki emergency pills ka bete, yaha padhiye zara: https://lovematters.in/hi/resource/safe-sex https://lovematters.in/hi/birth-control/top-10-facts-about-emergency-contraceptive-pills Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Anonymous
Tue, 06/08/2021 - 04:43 pm
Hello maam, hmra period same day s two day extra ho gya h r hme second day halki c spotting dikhi h to kya hm ise pregnancy samjhe qki hmra period hmesa hi tymly ya phir before hi aata h plzz reply me..
Bete yadi unsafe sex ke baad bhee periods ho rahe hain toh ismein pregnancy ke chances na ke barabar hai. Phir bhi yadi aap aur safe hona chahtey hain to chemist se liya gaya ek Home pregnancy test kit se test kar leejiye aur sthiti nischit kar leejiye. Kripya aaj ke baad condom ka nirdharit upyog keejiye. https://lovematters.in/hi/pregnancy/unsure-about-being-pregnant/unsafe-sex-missed-period-am-i-pregnant https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Nahi Siya bete yadi unsafe sex ke baad bhee periods ho rahe hain toh ismein pregnancy ke chances na ke barabar hai. Phir bhi yadi aap aur safe hona chahtey hain to chemist se liya gaya ek Home pregnancy test kit se test kar leejiye aur sthiti nischit kar leejiye. Kripya aaj ke baad condom ka nirdharit upyog keejiye. https://lovematters.in/hi/pregnancy/unsure-about-being-pregnant/unsafe-sex-missed-period-am-i-pregnant https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum
Mam mujhe mere partner ne bs fingring ki thi but hm ne sex n kiya.... Uske baad se aj mujhe 21 din ho gye mera period n aaya h maine 4 baar pregnancy test bhi kiya wo bhi negetive aaya har baar to kya karan h period n aane ka
Neha bete Fingering se pregnancy ke chances nahi ho sakte hain. Periods ke late hone ka karan stress, tension ya hormonal changes bhi ho sakte hai. Aap kisi vishesagya ya achche panjikrit doctor se mill lijiye aur apna dhyaan rakhiye. Ise padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle https://lovematters.in/hi/our-bodies/my-periods-are-irregular-what-should-i-do Yadi aap is mudde par humse aur gahri charcha me judna chahte hai to hamare discussion Board “Just Puchho” me jarur shaamil ho. https://lovematters.in/en/forum
Add new comment

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>