Shutterstock/ProStockStudio

Ghar par pregnancy test kaise karein?

Pregnancy ki jaanch karne ke tareeko mein ek bada change aaya ‘Home pregnancy test’ (HPT) ki wajah se. Iss test ke zariye mahilayen yeh jaanch kar sakti hai ki wo pregnant hai ya nahi. Ye test bahut easy hai aur ise public toilets me bhi kiya ja sakta hai. Lekin asaani se hone wali chize bhi kai baar mushkil ho sakti hai. Isliye pregnancy kits ka use karne se pehle kuch facts janana bahut zaruri hai.
Kya karen (DO’s) -
Subah ka pehla urine (peshaab)

HPT se yeh pata chalta hai ki mahila ke urine me HCG naamak hormone maujood hai ya nahi. HCG ek hormone hai jo ande ke garbhaashay (uterus) me thehrne (implant) ke baad shareer mein banta hai, yaani tab, jab ek mahila pregnant (garbhvati) hoti hai.  Subah ke pehle urine me iss hormone ka amount sabse zada hone ki possibility hoti hai, yahi vajah hai ki iska subah ke peshaab se aaya result sabse sateek (accurate) samjha jata hai.

Zyaadatar pregancy test kit bahut saste hote hai aur inki keemat kareeb 100 rupay se shuru hoti hai. Ab to market me aise bhi kai pregancy kits available hai jinhe sidhe peshaab ki dhaar (urine stream) kei beech mein rakhne se hi pregancy test kiya ja sakta hai. Iske liye alag bartan mein urine ikattha karne ki zaroorat nahi hoti hai. Lekin ye preganancy test kit normal kit se zyada mehenge hote hai.

Intezaar kare! (Wait!)

Isme koi doubt nahi hai ki HPT kit turant result dete hai aur yahi inki sabse badi khaasiyat hai. Lekin yaad rakhiye strip ya card par line dikhne tak intzaar karna important hai. Zyadatar pregancy kit apko final result bataane me 5 se 10 minute tak intezaar karvate hai. Kuch aise bhi hai jinke result aane me isse bhi zyada samay lag sakta hai.

Test kaise kare

Market me milne wale zyadatar pregnancy kits par yeh instruction likha hota hai ki stick ko mootradhaara (urine stream) ke beech mein rakhne ke baad ise ek samatal satah (flat surface) par rakhe aur kuch minute intezar kare. Jabki kuch kits me stick ko urine cup me dubone ki salaah di jaati hai. Kuch ke saath dropper bhi diya jata hai. Har test kit me diye gaye nirdesh (instructions) ko dhyaan se padhkar unko follow kare. Pregnancy test ke liye urine ki keval do-teen boonde hi kafi hoti hai.

Test ke result ko aise samajhe

Zyadatar test card ke do corner par C aur T likha hota hai. C matlab control. Ye line hamesha clearly dikhayi deni chahiye kyonki yeh comparison line hoti hai. T aapke pregnancy test ke result ka sanket dega. Yaani aap pregnant hain ya nahin ye  indicate karega.

Jis jagah par C likha hai agar vaha par sirf ek pink ya purple line dikhe to iska matlab hai ki pregnancy test negative hai yaani aap pregnant nahi hain.

Lekin agar do pink ya purple line dikhai deti hai jinme se ek C area mein jabki dusri T area mein dikhti hai to iska matlab hai ki pregnancy test positive hai matlab aap pregnant hain.

Agar koi line dikhayi nahi deti hai to test sahi tareeke se nahin hua hai. Iss test ko 72 ghante baad nayi kit se dobara karein.

Medicine test ke result impact kar sakti hain

Halaki zyadatar Home Pregnancy Kit 97% se 99% result dete hai. Lekin agar aap pehle se kuch dawayo ka sevan kar rahin hai toh pregnancy result par iska asar ho sakta hai. Jaise ki agar aap chinta aur tanaav door karne ke liye dawaaye le rahi ho toh inn dawao me HCG hota hai jo pregnant na hone ke baawajood bhi test positive dikha sakta hai.

Expiry date check kare

Dusri chizo ki tarah pregnancy kit ki bhi expiry date hoti hai isliye medical store se kit kharidte samay, label ko dhyaan se padhe aur iske banne aur kharab hone ki date dhyan se dekh le. Isse pregnancy result zada effective aur sateek(accurate) hoga.

Thumbs up
Kya na kare (DON’TS)
Test me jaldbaazi na kare

Unprotected (bina condom ya koi aur garbh nirodhak ke bina) sex karne ke ek din baad hi pregnancy test ki jaanch na karen. Behtar yehi hoga ki apne partner ke saath unprotected sex karne ke kum se kum 10 din baad pregnancy test karein.

Ab aise bhi test available hai jo periods miss hone ke 4 din pehle tak bhi pregnancy ka sateek result dene ka dawa karte hain. Aap periods miss hone ke baad bhi iss test ko kar sakti hain. Aisa isliye kyuki time ke saath HCG ka level badhne lagta hai aur periods rukne ke pehle din yeh sabse zada hota hai.

Nirdesh /Instructions ko undekha na kare

Kayee log pregnancy kit par likhe instructions ko andekha kar dete hain. Lekin test karne se pehle bhi poora dhyan dena important hota hai. Bohot si kit ke alag-alag istmaal karne ke tareeke aur nirdesh saath aate hain, isliye instructions ko bahut dhyaan se padhe. Saaf bartan ka use kare.

 

Pehle result ko hi last na maane

Unprotected (bina condom ya koi aur garbh nirodhak ke bina) sex karne ke 21 dino ke andar do baar home pregnancy test karna behtar hota hai. Negative result ana impossible nahi hai lekin kayi baar test kiya jana chaiye kyuki agar urine me HCG hoga toh yeh zarur badhega. Home blood test, pregnancy test se zyada accurate hota hai. Toh wo bhi ek alternative (vikalp) ho sakta hai.

Unexpected result aane se ghabraaye nahi

Agar aap pregnancy ke liye pehle se taiyaar nahi ho aur unwanted result saamne ata hai toh pareshaan na hoye. Bechain hone se apki pareshaaniya keval badhengi. Unwanted pregnancy se nipatne ke bhi kayi upaaye hain. 

Iss situation me doctor se salaah lena bohot zaruri hai. Apne partner, friends aur parivaar ki help lein aur soch samajhkar decide kare.

 

Thumbs down

Gopneeyata ka dhyaan rakhte hue photo mein model hain.  

Koi sawaal? Neeche tippani karen ya hamare charcha manch - Just Poocho pe Love Matters ke experts se poochein. Hamara Facebook page check karna na bhoolein.