Bete aapke parents is shadi ke liye razi hain, lekin unke nahi hain - ismein samasya toh hai - yadi sambhav ho toh kyun na aap apne parents ko unke parents se milkar baatchit karne ke liye kahiye?? Lekin bete pahli baat ki aapke bf apne pariwar ke khilaf nahi jana chahte hain aur pariwar ke khilaf jana itna aasan bhi nahi hota hai - aap khud hi sochiye, ye bahut hi muskil hai!! Ye ho sakta hai ki wo apne aap ko pahle settle karen aur tab apne parents ko mana len. Aur dusri baat aapke bf - jaisa ki aap kah rahin hain, 2 saal se aapse shadi karenge, yahi kah rahe hain - aapko kya lagta hai ?? Kya aapko is rishte par koi shaq ho raha hai?? Bete jo bhi ho in saari baaton ko clear kijiye - apne kisi bharosemand dost ki madad lijiye ya is bare mein apne pariwar walon se baat kijiye, pata lagayen unka kya kahna hai. Madad ke liye ise bhi padh lijiye: https://lovematters.in/en/love-and-relationships/parents-vs-partner-who-would-you-pick Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>