Dear Priya, apna sawal likhne ke liye thanks bete. Toh bete aapne toh imaadnari - bharosa dikhate huaye apne partner ko yeh baat batai jo aap nahi bhee bata sakti thin - jo ki poori tarah se aapka nirnya tha - na batati toh bhee isse apke pyar, bahrose par koi farq nahi padta - kyunki yeh baat past ki thi. Yahan yeh bhee smajhna zaruri hai bete ki past mein relationship ya sex yeh toh kisi ka bhee ho sakta hai, ismein sharmindagi kaisee!! Ab khud socho ki insaan itni si baat par aapse rishta kahatm kar sakta hai, aapko neecha dikha sakta hai, kya woh aapka pyar deserve karta hai? Kya guarantee thi ki who kal bhee is rishte meein tike rehte, ya who samman, izzat de pate!! Aapne kuch bhee galat nahi kiya, balki kahin na kahin aapke saath anyaay hua hai - jismein aapka koi bhee dosh nahi hai. Bhool jaiye is baat ko aur zindgi mein aage badhiye bete. https://lovematters.in/hi/love-and-relationships/breaking-up/how-to-get-over-a-break-up-a-proven-technique Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>