Sunita bete bete, itna late tak period ka na hona swasth nahi hai lekin periods ke late hone ka karan stress, tension ya hormonal changes ho sakte hai. Kisi ek visheshgya ya registered doctor se consult karna sahi hoga. Ok Bete! Madad ke liye ise bhee padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle Aur bete pregnancy ke signs itni jaldi nahi pata chalte, pregnancy check karne ke liye unsafe sex ke 10 din poore hote hee chemist se liya gaya ek home pregnancy test kit se test lijiye. Jiske liye morning urine ka sample sahi hota hai. Yaha padhiye: https://lovematters.in/hi/pregnancy/home-pregnancy-tests-dos-and-donts Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>