Bete ye swasth nahi hai, samanyataya periods 28 se 34 dino ke antral per ho sakte hai. Yadi yeh in dinon ke antral par na hokar har baar aniyamit hote hai toh is bare mein aapko kisi vishesgya ya panjikrit doctor se mill lena chahiye, lekin abhi toh lockdown hai, isliye aap apne shahar ke govt. hospital jaakar ek doctor se mill lijiye ya agar aapke parichit mein koi panjikrit doctor ho toh unse consult kijiye. Ise bhee padhiye: https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle https://lovematters.in/hi/our-bodies/my-periods-are-irregular-what-should-i-do Aur jab aap hospital jayen ya apne parichit doctor se consult karen toh pregnancy ke baare mein bhi baat kar lijiye. Pregnancy ke tips ke ye link bhi padh lijiye: https://lovematters.in/hi/resource/tips https://lovematters.in/hi/resource/pregnancy Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>