Beta, sable pehle to aap yeh jaan lo ki gay thoughts ( ya fir straight thoughts) samay ke saath nahi badle jaate. Haan hamara akarshan aur attraction kissi person ko le kar kab badal jaaye, yeh keh nahi sakte. Dekho, jab ek purush doosre purush ke prati yaun akarshan mehsoos karta hai, usko gay kaha jaata hai. Jab kissi ladke ko yeh attraction kissi doosre ladke ko dekh kar hota hai - to yeh kaise badal sakte hain? Hai na? Yeh to hamari feelings hain - kissi ko ladke ko dekh kar hoti hai to kissi ko ladki ko dekh kar. Isko badalna possible nahi hai. Yeh bilkul normal hai aur isko badlane ki zaroorat hee kyun hai? Aapko ladka acha lagta hai ya ladki ( yani ki aap gay ho ya straight) - yeh feelings to aa jaati hai khud se - kissi ke force karne se inko nahi badla jaa sakta. Aur badalne ke jaroorat bhi nahi hai. Badalna kyun beta? Yahi sab batein straight person pe ya kissi bhi insaan pe lagoo hoti hain. Hai na. Jab kisi ladke ko ladkiyon ke prati akarshan hota hain, toh aage jakar woh toh nahi badalta na? Toh fir gay logon ke liye kyun? Ye ek natural process hai. Straight logon ke liye aur gay logon ke liye bhi. Aur haan beta, ek aur baat, kuch mahila ya purush aise bhi hote hai jo kissi aur mahila ya purush dono se he sexual attraction/yaun akarashan mehsoos karte hain. Inko bisexual kaha jaata hai. Hum iss feeling ko bhi nahi badal sakte. Badalna hai to apni soch ko - ki gay aur straight dono apni jagah theek hain/ ek se hain - inhe badla nahi jaa sakta - badalne ki koi zaroorat bhi nahi . Zyada jaankari ke liye yahan padho - https://lovematters.in/hi/sexual-diversity/lesbian-gay-bisexual-and-transgender-what-do-these-terms-mean Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>