Namaste Aunty Ji, Mera naam Rahul hai, mein Ghaziabad mein rehta hu. mein apni biwi aur bachchi ke sath apne ghar mein rehta hu. hum dono mein bahut prem hai aur hamari ek choti si pyari si beti bhi hai. hamari shaadi ko 6 saal 5 mahine ho gaye hai. hum dono apne iss pavitra rishte se bahut khush hai. aur ek dusre k liye jaan chidakte hai, hum dono hi ek dusre mein samaye hue hai. par kuch samajik tatva hame disturb kar rahe hai jinme se kuch padoshi bhi hai aur kuch unknown log jinko hum log jante tak nahi yeh log hamare iss pavitra rishte ko khatm karne ki puri koshish kar chuke hai. hame police pe bharosa nahi kuki poilce walo ka inn logo pe support bhi hai local police ka. yaha tak ki maine apni wife ko apni baby k sath unke ghar bhej dia hai taki wo dono safe rahe. par mujhe apne aas paas ka mahol bahut ganda lag raha hai. jisse hum dono bahut disturb bhi ho rahe hai. hum pehle jaha rehte the, waha bhi yahi mahol tha aur waha k logo ne hi yaha kuch logo ko bevajah bhadka kar hamare piche laga rakha hai jisse hum dono aur hamari family bhi bahut paresan hai meri sisters and broter in law bhi aur mere bhaiya and bhabhi aur unke kids bhi.....hamara parivar majboot parivar hai...par kuch bade politicians and wrong police person hamare parivar ko todne ki koshish kar rahe hai..jisse mera parivar bahut upset raha hai ab tak. hamari kai baar in logo se ladai bhi hui par fir bhi yeh log nahi sudhre aur picha karte rahe aur yaha tak ki hamara apne hi samaj mein rehna muskil ho raha hai isliye hum log apne gharo mein jyada rehta hai aur bahar kam nikalte hai par jab bhi kisi kaam se bahar niklate hai tab yeh log bevajah paresan karte hai aur naak mein dum kar rakha hai hamare. humne bhi soch lia hai ki hum marege nahi balki aiso logo ko sabak sikhaege taki yeh log humse door bhage par inki quantity jyada hai aur har samay hum bhi yeh sab baaten nahi soch sakte dimag mein kuki apna ghar bhi dekhna hota hai. hamne police ka sahara bhi lia par ulta case humpe hi ho gaya meri family k log thane mein band hokar aa gaye...mujhe ab aur kuch samajh nahi aata sivay inn samasyao ka majbooti se samna karne k alawa humne ab tak bahut ladaiya lad li hai par yeh piche hatne ka naam hi nahi le rahe aur hum todne ki puri koshish kar rahe hai jiski vajah se mere ghar ki mahailae kai baar aapatti mehsus kar chuki hai aur iss karan se bahar nahi nikalti hai. mein bhi bahuut paresan hu mein aur meri peru family iss samasya se lad rahi hai par abhi tak hum isse bahar nahi nikal pae hai. mein agar apna ghar bhi change kar du aur dusri jagah lu to waha bhi yeh log hamara picha nahi chodege ab aap hi hamari iss samasya ka samadhan kare.

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>