Udit bete kyunki aap pooch rahe hain so bata deyety hain LEKIN, yeh ek bhraosemand upay NAHIN mana jaata. Aap condom ke istemaal ke baare mein kyun nahin sochtey. Pravesh karne se pehle aap jo hbi actiities kartey hain who jaari rakh saktey hain aur bas pravesh se pehel hee condom ka istemaal kar saktey hain. Isse sex ki kriya mein ek alp viraam bhi lag jayeg aaur aap lambe samay tak sex kar payenge. Mahila ke maasik chakr ko 4- 6 mahine dekhiye- who kitne dino mein aata hai. 28 , 30, 32... lekin isse zyada nahin. Isse note keejiye, aapko gap ka pata padh jayega. Phir mahine ke pehle din se aap aage 14 din gineenge- jo tareek miltee hai usse 2 din pehle aur 20 din baad – yaani 5 poore din aapko bilkul parkez karn ahai ya phir condom use karna hai. Yeh mana jaaata hai ki mahine shuru ke 14ve din ke aas apaas mahila k aanda aata hai, jo ki sirf 24 gahntey jeevit rehta hai. yeh bahrosemand tareeka nahin. Is tareeke ko apnane mein koi gaurantee nahin.Bachav ke liye, condom hee ek maatra tareeka hai- ya phir garbhnirodhak goli. NAME HERE, garbhpaat tak baat pahuch jaye to kisi ko achcha nahin lagta – nisandeh. Aur saath hee saath aapka sex se bhi mood oob jaata hai – rishtey mein bhi malal aa sakta hai. https://www.babycentre.co.uk/ovulation-calculator https://lovematters.in/en/our-bodies/ovulation-calendar-how-to-calculate-ovulation Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • अनुमति रखने वाले HTML टैगस: <a href hreflang>