Bete aapki shadi ho gayi hai aur aapki gf ne bhi kah diya - chahe darr se hi sahi - ki divorce hone ke baad bhi wo aapke paas nahi aayengi - toh fir kya rah gaya hai ? Ek tarah se wo toh aapko mana hee kar rahi hain na? Aur in sab ke baare mein aapki patni ka kya role hai ? Wo to aap dono ke pyaar ke programme meinphas gayi. Bete yeh bhi jaan lijiye ki divorce ek lambi kanuni prakriya hoti hai, kaafi samay lag sakta hai aur kaafi sanyam bhi rakhna padta hai. Aapko kya lagta hai beta, ki jis family ne aapki shadi aapki marzi ke bina kee hai - wo aapko divorce karne mein madad karenge ? Aur aapki shadi kisi aur se karva denge ? Aur unki family ek “Divorced” ladke ko apna lenge. Thoda vaastvik hokar sochiye beta, filmi nahi. Ab aapne ek ladki ke saath shadi ka kadam uthaya hai – use nibhana bhi farz hai aapka aur unka haq bhi. Ek sachcha purush hone ka samay aa gaya – jaldi shuru kijiye. Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>