Hmmm! So sabse pehle yeh samjho ki hum yahan se aapko kisi bhe medicine ke bare mein nahi bata sakte, Aur haan ismein pregnancy ke chances ho skate hain. Iske liye phoren ek home pregnancy test lijiye. Phir kisi vishagya ya achche panjikrit doctor se milo aur dekho kya ho sakta hai. Iske illava aap FPAI clinic se bhee sampark kar sakety hai jiski jaankari aaapko iski website pe mil jayegi. http://lovematters.in/hi/resource/unplanned-pregnancy http://www.fpaindia.org/ Saath he yeh samjh lo periods ke samye halka durd hona samnaya hai lekin yeh durd samanya se jyada nahi hona chahiye. Aap kisi vishagya ya achche panjikrit doctor se mililye. https://lovematters.in/hi/resource/menstrual-cycle

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>