Anamika bete sabse pahle aapka swasth hona bahut zaruri hai, isliye aap ek achchhe vishesagya ya panjikrit doctor ke regular consult me rahiye aur unki salah ko follow kijiye. Jab tak aap swasth nahi hongi, aapka man kisi bhi activity ko karne ka nahi karega. Aur saath hi aapke partner ko bhi ye baat samajhani chahiye, unse apni samasyaon ke baare mein khul kar baat kijiye - apni bimari ke baare me poori jaankari dijiye aur apne treatment me unka sahyog lijiye. Dekhiye bete shadisuda zindgi me dono partners ke ek dusre se aspects hote hain, lekin swasth hona sabse pahli priority honi chahiye - saath hi yeh bhi yaad rakhiye, ki sex mein HAAN karna ya NAA, yeh bhi aapka haq hai, aapka nirnay hai. aapke dubara likhne ka intezar rahega. Aapko Auntyji ka pyar. zara ise bhi padh lijiye: https://lovematters.in/en/news/my-wife-not-interested-sex https://lovematters.in/hi/resource/making-love Yadi aap is mudde par humse aur gehri charcha mein judna chahte hain to hamare discussion board “Just Poocho” mein zaroor shamil ho! https://lovematters.in/en/forum

Comment

  • Allowed HTML tags: <a href hreflang>